Meri Nawa’ay Gham Aalood Hai Mataa-E-AzizJahan Mein Aam Nahin Doulat-E-Dil Na-Shaad
Gila Hai Mujh Ko Zamane Ki Kaur Zauqi SeSamjhta Hai Meri Mehnat Ko Mehnat-E-Farhad
Jahan Mein Danish-O-Beenish Ki Hai Kis Darja ArzaniKoi Shay Chup Nahin Sakti K Ye Alam Hai Noorani
Ye Duniya Dawat-E-Didar Hai Farzand-E-Adam KoKe Har Mastoor Ko Bakhsha Gya Hai Zauq-E-Uryani
ye talash e muttasil shama e jahan afroz haitosin e idraak e insan ko kharam aamuz hai
thay diyar e nau zameen o aasman mere liyewussat e aaghaush e madar ek jahan mere liye
Ae Jahan Abad! Ae Gehwara-e-Ilam-o-HunarHain Sarapa Nala-e-Khamosh Tere Baam-o-Der
Makre Ne Kaha Wah! Farebi Mujhay SamjheTum Sa Koi Nadan Zamane Mein Na Ho Ga
So Kaam Khushamad Se Nikalte Hain Jahan MeinDekho Jise Duniya Mein Khushamad Ka Hai Banda
Bara Jahan Mein Tujh Ko Bana Diya Uss NeMujhe Darakht Pe Charhna Sikha Diya Uss Ne
Nahin Hai Cheez Nakami Koi Zamane MeinKoi Bura Nahin Qudrat Ke Karkhane Mein
Door Dunya Ka Mere Dam Se Andhera Ho JayeHar Jagha Mere Chamakne Se Ujala Ho Jaye
Hain Log Wohi Jahan Mein AcheAate Hain Jo Kaam Dusron Ke