Roshan To Woh Hoti Hai, Jahan Been Nahin HotiJis Ankh Ke Pardon Mein Nahin Hai Nigah-E-Pak
Faraghat De Usse Kar-E-Jahan SeKe Chootay Har Nafs Ke Imtihan Se
Digargoon Alam-E-Shaam-O-Sahar KarJahan-E-Khusk-O-Tar Zayr-O-Zabar Kar
Khird Dekhe Agar Dil Ki Nigah SeJahan Roshan Hai Noor-E-’LA ILLAH’Se
Garam Ho Jata Hai Jab Mehkoom Qoumon Ka LahooThartharata Hai Jahan-E-Chaar Suay-O-Rang-O-Boo
Chupay Rahain Ge Zamane Ki Ankh Se Kab TakGuhar Hain Aab-E-Woolar Ke Tamam Yakdana
Digargoon Jahan Un Ke Zor-E-Amal SeBare Maarke Zinda Qoumon Ne Mare
Zameer-E-Jahan Iss Qadar Atisheen HaiKe Darya Ki Moujon Se Tootay Sitare
Nishan Yehi Hai Zamane Mein Zinda Qoumon KaKe Subha-O-Sham Badalti Hain In Ki Taqdeerain
Qalanderana Ada’en, Sikandarana JalalYe Ummatain Hain Jahan Mein Barhana Shamsheerain
Che Kafarana Qimar-E-Hiyat Mee BaziKh Ba Zamana Ba-Sazi Bakhud Namee Sazi
Zameer-e-Magrib Hai Tajirana, Zameer-e-Mashriq Hai RahabanaWahan Digargoon Hai Lehza Lehza, Yahan Badalta Nahin Zamana
Umeed Na Rakh Doulat-E-Dunya Se Wafa KiRam Uss Ki Tabiyat Mein Hai Manind-E-Ghazala