nāzāñ na ho mun.im ki jahāñ terā mahal haihovegī yahāñ pahle bhī ta.amīr kisī kī
naav bhar kar jahāñ Dubonī thīaql ko nāḳhudā kiyā tū ne
vo log kaun se haiñ ai ḳhudā-e-kaun-o-makāñsuḳhan se kaan ko jo āshnā nahīñ rakhte
banda huuñ tirā zabān-e-shīrīñduniyā mamnūn ho ga.ī hai
ai āshnā karam suuñ yak baar aa daras detujh baaj sab jahāñ suuñ begāna ho rahā huuñ
anokhī vaz.a hai saare zamāne se nirāle haiñye āshiq kaun sī bastī ke yā-rab rahne vaale haiñ
ġham-e-zamāna ne jhāḌī nashāt-e-ishq kī mastīvagarna ham bhī uThāte the lazzat-e-alam aage
dil kī tasallī jab ki hogī guft o shunūd se logoñ kīaag phuñkegī ġham kī badan meñ us meñ jaliye bhuniyegā
mirā to farz chaman-bandi-e-jahāñ hai faqatmirī balā se bahār aa.e yā ḳhizāñ guzre
baaqī jahāñ meñ qais na farhād rah gayāafsāna āshiqoñ kā faqat yaad rah gayā
biThā chukā hai zamāna hameñ bhī masnad parhuā kiye haiñ javāhir nisār ham par bhī
rusvā-e-jahāñ kartā hai ro ro ke hameñ tūham tujhe kuchh ai dīda-e-nam kah nahīñ sakte
iid aur nauroz hai sab dil ke saathdil nahīñ hāzir to duniyā hai ujaaḌ
khulegā haal unheñ jab ki aañkh band huījo log ulfat-e-mushkil-kushā nahīñ rakhte
badal ke duniyā ne bhes sad.hā ise Darāyā use lubhāyākabhī zan-e-pīr-zāl ban kar kabhī but-e-shoḳh-o-shañg ho kar
apnī jaulāñ-gāh zer-e-āsmāñ samjhā thā maiñaab o gil ke khel ko apnā jahāñ samjhā thā maiñ
hai adam meñ ġhuncha mahv-e-ibrat-e-anjām-e-gulyak-jahāñ zaanū ta.ammul dar-qafā-e-ḳhanda hai
laḌtī hai us kī chashm-e-shoḳh jahāñek āshob vaañ se uThtā hai
terī ināyateñ ki nahīñ nazr-e-jāñ qubūlterī navāzisheñ ki zamāna ḳharāb hai
sūrat ko terī dekh ke khiñchtī hai jān-e-ḳhalqdil apnā thaam thaam ke bahzād rah gayā
ham aise rind magar ye zamāna hai vo ġhazabki Daal hī diyā duniyā kā baar ham par bhī
jahāñ meñ chāhiye aivān o qasr shāhoñ koye ek gumbad-e-gardūñ hai bas gadā ke liye
raheñ nā-āshnā zamāne sehaq hai terā ye āshnāoñ par
jahāñ kī lazzat o ḳhvāhish se hai bashar kā ḳhamīrvo kaun haiñ ki jo hirs-o-havā nahīñ rakhte
jahāñ meñ vāshud-e-ḳhātir ke sāmāñ ho ga.e lāshejagah rāhat kī nā-mumkin huī hai lā-makāñ ho kar
kyā ġhazab hai ki is zamāne meñek bhī sāhib-e-surūr nahīñ
naqsh-e-ibrat dar nazar yā naqd-e-ishrat dar bisātdo-jahāñ vus.at ba-qadr-e-yak-fa.zā-e-ḳhanda hai
yuuñ uThe aah us galī se hamjaise koī jahāñ se uThtā hai
mai-ḳhāna hai usī kā ye duniyā usī kī haijis tishna-lab ke haath meñ jām-e-sharāb hai