is ishq kī talāfi-e-māfāt dekhnārone kī hasrateñ haiñ jab aañsū nahīñ rahe
huā huuñ ishq kī ġhārat-garī se sharmindasivā.e hasrat-e-tāmīr ghar meñ ḳhaak nahīñ
Ishq Ki Masti Se Hai Paikar-E-Gil TaabnaakIshq Hai Sehba’ay Khaam, Ishq Hai Kaas-Ul-Kiraam
kyā barābar kā mohabbat meñ asar hotā haidil idhar hotā hai zālim na udhar hotā hai
mohabbat tarz-e-paivand-e-nihāl-e-dostī jaanedavīdan resha saañ muft-e-rag-e-ḳhvāb-e-zuleḳhā hai
Ishq Faqeeh-E-Haram, Ishq Ameer JunoodIshq Hai Ibn-Ul-Sabeel, Iss Ke Hazaron Maqam
kaun dekhe use betāb-e-mohabbat ai diltū vo naale hī na kar jin meñ asar hotā hai
asar soz-e-mohabbat kā qayāmat be-muhābā haiki rag se sañg meñ tuḳhm-e-sharar kā resha paidā hai
Ishq Ke Mizraab Se Naghma’ay Taar-E-HayatIshq Se Noor-E-Hayat, Ishq Se Naar-E-Hayat
har-chand kar diyā mujhe barbād ishq nelekin unheñ to shefta-e-dil banā diyā
phir pursish-e-jarāhat-e-dil ko chalā hai ishqsāmān-e-sad-hazār namak-dāñ kiye hue
Ae Haram-E-Qurtuba! Ishq Se Tera WujoodIshq Sarapa Dawam, Jis Mein Nahin Raft-o-Bood
mohabbat meñ ye kyā maqām aa rahe haiñki manzil pe haiñ aur chale jā rahe haiñ
phir chāhtā huuñ nāma-e-dildār kholnājaañ nazr-e-dil-farebi-e-unvāñ kiye hue
Aqal Hai Be Zamam Abhi, Ishq Hai Be Maqam AbhiNaqsh Gar-e-Azal! Tera Naqsh Hai Natamam Abhi
yahāñ to ḳhud tirī hastī hai ishq ko darkārvo aur hoñge jinheñ muskurā ke luuT liyā
muñd ga.iiñ kholte hī kholte āñkheñ hai haiḳhuub vaqt aa.e tum is āshiq-e-bīmār ke paas