Khali Sharab-e-Ishq Se Lale Ka Jam HoPani Ki Boond Girya-e-Shabnam Ka Naam Ho
Anjuman Husn Ki Hai Tu, Teri Tasveer Hun MainIshq Ka Tu Hai Sahifa, Teri Tafseer Hun Main
Gharz Iss Qadar Ye Nazara Tha PyaraKe Nazaragi Ho Sarapa Nazara
Farishta Tha Ek, Ishq Tha Naam Jis KaKe Thi Rahbari Uss Ki Sub Ka Sahara
Suni Ishq Ne Guftugoo Jab Qaza KiHansi Uss Ke Lab Par Huwi Ashkara
Farmaya, Shikayat Woh Mohabbat Ke Sabab ThiTha Farz Mera Rah Shariat Ki Dikhani
Abar-e-Rehmat Tha Ke Thi Ishq Ki Bijli Ta Rab!Jal Gyi Mazraa-e-Hasti To Uga Dana-e-Dil
Ishq Ke Daam Mein Phans Kar Ye Riha Hota HaiBarq Girti Hai To Ye Nakhl Hara Hota Hai
Hun Woh Rahru Ke Mohabbat Hai Mujhe Manzil SeKyun Tarapti Hun, Ye Puche Koi Mere Dil Se
Ashiq-e-Uzlat Hai Dil, Nazan Hun Apne Ghar Pe MainKhanda-Zan Hun Masnad-e-Dara-o-Iskandar Pe Main