Ah! Kyun Dukh Dene Wali Shay Se Tujh Ko Pyar HaiKhail Iss Kaghaz Ke Tukre Se, Ye Be-Azaar Hai
Tu Talab Khu Hai To Mera Bhi Yehi Dastoor HaiChandani Hai Noor Tera, Ishq Mera Noor Hai
Jafa Jo Ishq Mein Hoti Hai Woh Jafa Hi NahinSitam Na Ho To Mohabbat Mein Kuch Maza Hi Nahin
Azan Azal Se Tere Ishq Ka Tarana BaniNamaz Uss Ke Nazare Ka Ek Bahana Bani
Khak Mein Mil Ke Hayat-e-Abdi Pa JaunIshq Ka Souz Zamane Ko Dikhata Jaun
Hu Bahu Khainche Ga Lekin Ishq Ki Tasveer Kon?Uth Gya Nawak Fagan, Mare Ga Dil Par Teer Kon?
Sitare Ishq Ke Teri Kashish Se Hain QaeemNizam-e-Mehr Ki Soorat Hai Tera
Nihan Hai Teri Mohabbat Mein Rang-e-MehboobiBari Hai Shaan, Ehtaraam Hai Tera
Phir Aa Rakhun Qadam-e-Madar-o-Pidar Pe JabeenKiya Jinhon Ne Mohabbat Ka Raazdaan Mujh Ko
Woh Mera Yousaf-e-Sani, Woh Shama-e-Mehfil-e-IshqHuwi Hai Jis Ki Akhuwat Qarar-e-Jaan Mujh Ko
Jala Ke Jis Ki Mohabbat Ne Daftar-e-Man-o-TuHawaye Aysh Mein Pala, Kiya Jawan Mujh Ko
Bhari Bazm Mein Apne Ashiq Ko TaraTeri Ankh Masti Mein Hushyar Kya Thi!
Anokhi Waza Hai, Sare Zamane Se Nirale HainYe Ashiq Kon Si Basti Ke Ya-Rab Rehne Wale Hain