Rulati Hai Mujhe Raton Ko Khamoshi Sitaron KiNirala Ishq Hai Mera, Nirale Mere Nale Hain
Mere Ashaar Ae Iqbal! Kyun Pyare Na Hon Mujh KoMere Toote Huwe Dil Ke Ye Dard Angaiz Nale Hain
Chaman Zaar-e-Mohabat Mein Khamoshi Mout Hai Bulbul!Yahan Ki Zindagi Pabandi-e-Rasm-e-Faghan Tak Hai
Zamane Bhar Men Ruswa Hun Magar Ae Waye Nadani!Samajhta Hun K E Mera Ishq Mere Raazdan Tak Hai
Mohabbat Ke Liye Dil Dhoond Koi Tootne WalaYe Woh Mai Hai Jise Rakhte Hain Nazuk Abgeenon Mein
Sarapa Husn Ban Jata Hai Jis Ke Husn Ka AshiqBhala Ae Dil Haseen Aesa Bhi Hai Koi Haseenon Mein
Khamosh Ae Dil! Bhari Mehfil Mein Chillana Nahin AchaAdab Pehla Qareena Hai Mohabbat Ke Qareenon Mein
Phir In Ajza Ko Ghola Chasma-e-Hewan Ke Pani MenMarakkab Nemohabbat Naam Paya Arsh-e-Azam Se
Ishq Ne Kar Diya Tujhe Zauq-e-Tapish Se AshnaBazm Ko Misl-e-Shama-e-Bazm Hasil-e-Souz-o-Saaz
Shan-e-Karam Pe Hai Madar Ishq-e-Girah Kushaye KaDair-o-Haram Ki Qaid Kya! Jis Ko Woh Be-Niaz De
Ishq Buland Baal Hai Rasm-o-Reh-e-Niaz SeHusn Hai Mast-e-Naz Agar Tu Bhi Jawab-e-Naaz De
Torh Deta Hai But-e-Hasti Ko Ibraheem-e-IshqHosh Ka Daru Hai Goya Masti-e-Tasneem-e-Ishq
Auron Ka Hai Payam Aur, Mera Payam Aur HaiIshq Ke Dardmand Ka Tarz-e-Kalaam Aur Hai