Dar Jahan Misl-e-Charagh-e-Lala-e-SehrastamNe Naseeb-e-Mehfile, Ne Qismat-e-Kashana Ae
Gul Ba Daman Hai Meri Shab Ke Lahoo Se Meri SubahHai Tere Amroz Se Na-Ashna Farda Tera
Yun To Roshan Hai Magar Souz-e-Darun Rakhta NahinShaola Hai Misl-e-Charagh-e-Lala-e-Sehra Tera
Akhir-e-Shab Deeb Ke Qabil Thi Bismil Ki TarapSubahdam Koi Agar Balaye Baam Aya To Kya
Shama-e-Mehfil Ho Ke Tu Jab Souz Se Khali RahaTere Parwane Bhi Iss Lazzat Se Baigane Rahe
Woh Jigar Souzi Nahin, Wo Shaola Ashaami NahinFaida Phir Kya Jo Gird-e-Shama Parwane Rahe
Zinda Phir Woh Mehfil-e-Dairina Ho Sakti NahinShama Se Roshan Shab-e-Dosheena Ho Sakti Nahin
Qismat-e-Alam Ka Muslim Koukab-e-Tabinda HaiJis Ki Tabani Se Afsoon-e-Sehar Sharminda Hai
Qayood-e-Shaam-o-Sahar Mein Basar To Ki LekinNazam-e-Kuhna-e-Alam Se Aashna Na Huwa
Chaand Kahta Tha, Nahin, Ahl-e-Zameen Hai Koi!Kehkashaan Kehti Thi, Poshida Yahin Hai Koi!
Kis Qadar Tum Pe Garan Subah Ki Baidari HaiHum Se Kab Pyar Hai! Haan Neend Tumhain Pyari Hai
Kati Hai Raat To Hangama Gustari Mein TeriSehar Qareeb Hai, Allah Ka Name Le Saqi!
Ati Hai Mashriq Se Jab Hangama Dar Daman SeharManzil-e-Hasti Se Kar Jati Hai Khamoshi Safar
Iss Dour Ki Zulmat Mein Har Qalb-e-Preshan KoWoh Dagh-e-Mohabbat De Jo Chand Ko Sharma De