Jo Abhi Ubhre Hain Zulmat Khana’ay Ayyam SeJin Ki Zou Na Ashna Hai Qaid-e-Subah-o-Sham Se
Ek Raat Ye Kehne Lage Shabnam Se SitareHar Subah Naye Tujh Ko Mayassar Hain Nazare
Tare Sharar-e-Aah Hain Insan Ki Zuban MeinMein Girya-e-Gardoon Hun Gulistan Ki Zuban Mein
Staiza Kaar Raha Hai Azal Se Ta AmrozCharagh-e- Mustafavi (S.A.W.) Se Sharar-e-Bu-Lahbi
Sukoot-e-Shaam Se Ta Naghma-e-SehargahiHazar Marhala Haye Faghan-e-Neem-Shabi
Parwane Ko Charagh Hai, Bulbul Ko Phool BasSiddique Ke Liye Hai Khuda Ka Rusool (S.A.W.) Bas
Farogh-e-Shama Se Bazm-e-Muslim Jagmaga UthiMagar Kehti Hai Parwanon Se Meri Kuhna Idraaki
“Tu Ae Parwana! Aen Garmi Za Shama-e-Mehfile DariChoman Dar Aatish-e-Khud Souz Agar Souz-e-Dile Dari”
Khak-e-Marqad Par Teri Le Kar Ye Faryad Aun GaAb Duaye Neem Shab Mein Kis Ko Main Yaad Aun Ga!
Tujh Ko Misl-e-Tiflak-e-Be Dast-o-Paa Rota Hai WohSabr Se Na Ashna Subah-o-Masa Rota Hai Woh
Subah Jab Meri Nigah Soudai-e-Nazara ThiAsman Par Ek Shua-e-Aftab Awara Thi
“Khufta Hungame Hain Meri Hasti-e-Khamosh MeinParwarish Payi Hai Main Ne Subah Ki Aghosh Mein
Surma Ban Kar Chashm-e-Insaan Mein Sama Jaun Gi MainRaat Ne Jo Kuch Chupa Rakha Tha, Dikhlaun Gi Main