hosh uḌte haiñ mire jalva-e-gul dekh 'asad'phir huā vaqt ki ho bāl-kushā mauj-e-sharāb
Mehndi Lage Suraj Jab Sham Ki Dulhan KoSurkhi Liye Sunehri Har Phool Ki Qaba Ho
phir is andāz se bahār aa.īki hue mehr-o-mah tamāshā.ī
Phoolon Ko Aye Jis Dam Shabnam Wazoo KarneRona Mera Wazoo Ho, Nala Meri Dua Ho
sabza o gul ke dekhne ke liyechashm-e-nargis ko dī hai bīnā.ī
Sadma Aa Jaye Hawa Se Gul Ki Patti Ko AgarAshak Ban Kar Meri Ankhon Se Tapak Jaye Asar
qafas meñ huuñ gar achchhā bhī na jāneñ mere shevan komirā honā burā kyā hai navā-sanjān-e-gulshan ko
Ayi Nayi Hawa Chaman-e-Hast-o-Bood MeinAe Dard-e-Ishq! Ab Nahin Lazzat Namood Mein
is chaman meñ resha-dārī jis ne sar kheñchā 'asad'tar zabān-e-lutf-e-ām-e-sāqī-e-kausar huā
Haan, Khud Numaeeyon Ki Tujhe Justujoo Na HoMinnat Pazeer Nala-e-Bulbul Ka Tu Na Ho!
mīnā-e-mai hai sarv nashāt-e-bahār sebāl-e-tadrrav jalva-e-mauj-e-sharāb hai
Jis Ki Bahar Tu Ho Ye Aesa Chaman NahinQabil Teri Namood Ke Ye Anjuman Nahin