Jab Se Chaman Chuta Hai, Ye Haal Ho Gya HaiDil Gham Ko Kha Raha Hai, Gham Dil Ko Kha Raha Hai
rag-o-pai meñ jab utre zahr-e-ġham tab dekhiye kyā hoabhī to talḳhī-e-kām-o-dahan kī āzmā.ish hai
Gana Issay Samajh Ker Khush Hon Na Sunne WaleDukhe Huwe Dilon Ki Faryad Ye Sada Hai
ibn-e-mariyam huā kare koīmere dukh kī davā kare koī
Mehr-e-Roshan Chup Gya, Uthi Niqab-e-Ruye ShamShan-e-Hasti Pe Hai Bikhra Huwa Gaisuay Sham
kuchh to de ai falak-e-nā-insāfaah o fariyād kī ruḳhsat hī sahī
Ye Seyh Poshi Ki Tayari Kisi Ke Gham Mein HaiMehfil-e-Qudrat Magar Khurshid Ke Matam Mein Hai
gardish-e-rañg-e-tarab se Dar haiġham-e-mahrūmi-e-jāved nahīñ
Admi Wan Bhi Hisar-e-Gham Mein Hai Mehsoor Kya?Uss Walayat Mein Bhi Hai Insan Ka Dil Majboor Kya?
ishrat-e-qatra hai dariyā meñ fanā ho jaanādard kā had se guzarnā hai davā ho jaanā
Wan Bhi Kya Faryad-e-Bulbul Per Chaman Rota Nahin?Iss Jahan Ki Tarah Wan Bhi Dard-e-Dil Hota Nahin?