Uqda-e-Azdad Ki Kawish Na Tarpaye MujheHusn-e-Ishq Angaiz Har Shay Mein Nazar Aye Mujhe
Sadma Aa Jaye Hawa Se Gul Ki Patti Ko AgarAshak Ban Kar Meri Ankhon Se Tapak Jaye Asar
yuuñ hī dukh kisī ko denā nahīñ ḳhuub varna kahtāki mire adū ko yā rab mile merī zindagānī
Dard-e-Istafhaam Se Waqif Tera Pehlu NahinJustujoo-e-Raaz-e-Qudrat Ka Shanasa To Nahin
letā huuñ maktab-e-ġham-e-dil meñ sabaq hanūzlekin yahī ki raft gayā aur buud thā
Ae Dard-e-Ishq! Hai Guhr-e-Abdar TuNa-Mehramon Mein Dekh Na Ho Ashkara Tu!
Ayi Nayi Hawa Chaman-e-Hast-o-Bood MeinAe Dard-e-Ishq! Ab Nahin Lazzat Namood Mein
kyā bayāñ kar ke mirā ro.eñge yaarmagar āshufta-bayānī merī
Khali Sharab-e-Ishq Se Lale Ka Jam HoPani Ki Boond Girya-e-Shabnam Ka Naam Ho
hue haiñ paañv hī pahle nabard-e-ishq meñ zaḳhmīna bhāgā jaa.e hai mujh se na Thahrā jaa.e hai mujh se