Gham-e-Sayyad Nahin, Aur Par-o-Baal Bhi HainPhir Sabab Kya Hai, Nahin Tujh Ko Damagh-e-Parwaz
Hukumat Ka To Kya Rona Ke Woh Ek Aarzi Shay ThiNahin Dunya Ke Aaeen-e-Musallam Se Koi Chara
Girya Saman Main Ke Mere Dil Mein Hai Toofan-e-AshakShabnam Afshan Tu Ke Bazm-e-Gul Mein Ho Charcha Tera
Aah, Jab Gulshan Ki Jamiat Preshan Ho ChukkiPhool Ko Baad-e-Bahari Ka Payam Aya To Kya
Akhir-e-Shab Deeb Ke Qabil Thi Bismil Ki TarapSubahdam Koi Agar Balaye Baam Aya To Kya
Har Nafas Iqbal Tera Aah Mein Mastoor HaiSeena’ay Sozaan Tera Faryad Se Maamoor Hai
Kab Dra Sakta Hai Gham Ka Arzi Manzar MujheHai Bharosa Apni Millat Ke Muqaddar Par Mujhe
Aye Hain App Le Ke Shifa Ka Payam KyaRakhte Hain Ahl-e-Dard Masiha Se Kaam Kya!
Ayi Aawaz Ghum-Angaiz Hai Afsana TeraAshk-e-Betaab Se Labraiz Hai Paimana Tera
Hum Tau Mayal Ba-Karam Hain, Koi Sayal Hi NahinRah Dikhlaen Kise Rahraw-e-Manzil Hi Nahin
Ya Rab! Dil-e-Muslim Ko Woh Zinda Tamana DeJo Qalb Ko Garma De, Jo Rooh Ko Tarpa De
Mehroom-e-Tamasha Ko Phir Dida-e-Beena DeDekha Hai Jo Kuch Mein Ne Auron Ko Bhi Dikhla De
Zara Se Patte Ne Betaab Kar Diya Dil KoChaman Mein Aa Ke Sarapa Gham-e-Bahar Hun Main
Fatima! Go Shabnam Afshan Ankh Tere Gham Mein HaiNaghma-e-Ishrat Bhi Apne Nala-e-Matam Mein Hai