Ae Taro Na Pucho Chamanistan-e-Jahan KiGulshan Nahin, Ek Basti Hai Woh Aah-o-Faghan Ki
Tare Sharar-e-Aah Hain Insan Ki Zuban MeinMein Girya-e-Gardoon Hun Gulistan Ki Zuban Mein
Muslim Sipahiyon Ke Zakheere Huwe TamamRooye Umeed Aankh Se Mastoor Ho Gya
Bujhaye Khawab Ke Pani Ne Akhgar Uss Ki Ankhon KeNazar Sharma Gi Zalim Ki Dard-Angaiz Manzar Se
Muslim Mere Kalam Se Betaab Ho GyaGhamaz Ho Gyi Gham-e-Pinhan Ki Aah-e-Sard
Khamosh Ho Gye Chamanistan Ke RaazdaarSarmaya-e-Gudaz Thi Jin Ki Nawaye Dard
Kiya Gum Taza Parwazon Ne Apna Ashiyan LekinManazir Dilkusha Dikhla Gyi Sahir Ki Chalaki
Ankh Par Hota Hai Jab Ye Sirr-e-Majboori AyanKhush Ho Jata Hai Dil Mein Ashak Ka Seel-e-Rawan
Qalb-e-Insani Mein Raqs-e-Aysh-o-Gham Rehta NahinNaghma Reh Jata Hai, Lutf-e-Zair-o-Bam Rehta Nahin
Ilm-o-Hikmat Rahzan-e-Saman-e-Ashak-o-Aah HaiYani Ek Almas Ka Tukra Dil Agah Hai
Garche Mere Bagh Mein Shabnam Ki Shadabi NahinAnkh Meri Mayadaar-e-Ashak-e-Unnabi Nahin
Janta Hun Aah, Main Aalaam Insane Ka RaazHai Nawaye Shikwah Se Khali Meri Fitrat Ka Saaz
Par Teri Tasveer Qasid Girya-e-Peham Ki HaiAah! Ye Tardeed Meri Hikmat-e-Muhkam Ki Hai