ye fareb-e-jalva hai sar-ba-sar mujhe Dar ye hai dil-e-be-ḳhabarkahīñ jam na jaa.e tirī nazar inhīñ chand naqsh o nigār par
ulajhte ho tum agar dekhte ho ā.īnajo tum se shahr meñ hoñ ek do to kyūñkar ho
Woh Jahan Hai Tera Jis Ko Tu Kare PaidaYe Sang-o-Khisht Nahin, Jo Teri Nigah Mein Hai
jab us ruḳh-e-pur-nūr kā jalva nazar aayāka.aba nazar aayā na kalīsā nazar aayā
dil ko āñkhoñ ne phañsāyā kyā magarye bhī halqe haiñ tumhāre daam ke
Karain Ge Ahl-e-Nazar Taza Bastiyan AbadMeri Nigah Nahin Soo’ay Kufa-o-Baghdad
ye husn ye shoḳhī ye karishma ye adā.eñduniyā nazar aa.ī mujhe to kyā nazar aayā
hamārī sādgī thī iltifāt-e-nāz par marnātirā aanā na thā zālim magar tamhīd jaane kī
Qaba-e-Ilm-o-Hunar Lutf-e-Khaas Hai, WarnaTeri Nigah Mein Thi Meri Na-Khush Andami
ik sarḳhushi-e-ishq hai ik be-ḳhudī-e-shauqāñkhoñ ko ḳhudā jaane mirī kyā nazar aayā
lakad kūb-e-havādis kā tahammul kar nahīñ saktīmirī tāqat ki zāmin thī butoñ kī naaz uThāne kī
Ilm Ka Maqsood Hai Paki-e-Aqal-o-KhiradFaqr Ka Maqsood Hai Iffat-e-Qalb-o-Nigah
jab dekh na sakte the to dariyā bhī thā qatrajab aañkh khulī qatra bhī dariyā nazar aayā
haiñ ahl-e-ḳhirad kis ravish-e-ḳhās pe nāzāñpābastagi-e-rasm-o-rāh-e-ām bahut hai
Rah-o-Rasm-e-Haram Na-MehramanaKalisa Ki Ada Soudagarana