ye ham jo hijr meñ dīvār-o-dar ko dekhte haiñkabhī sabā ko kabhī nāma-bar ko dekhte haiñ
Rukhsat Huwi Khamoshi Taron Bhari Faza SeWusa’at Thi Asman Ki Ma’amoor Iss Nawa Se
dāġh-e-firāq-e-sohbat-e-shab kī jalī huīik sham.a rah ga.ī hai so vo bhī ḳhamosh hai
Tha Jinhain Zauq-e-Tamasha, Woh To Rukhsat Ho GyeLe Ke Ab Tu Wada-e-Didar-e-Aam Aya To Kya
Mazaj-e-Ahl-e-Alam Mein Taghiyur Aa Gya AesaKe Rukhsat Ho Gyi Dunya Se Kaifiat Woh Seemabi
Ae Bu-Ubaidah (R.A.) Rukhsat-e-Paikaar De MujheLabraiz Ho Gya Mere Sabr-o-Sakoon Ka Jaam
Be Taab Ho Raha Hun Mein Firaaq-e- Rasool (S.A.W.) MeinEk Dam Ki Zindagi Bhi Mohabbat Mein Hai Haraam
Daman-e-Deen Hath Se Chhuta To Jamiat KahanAur Jamiat Huwi Rukhsat To Millat Bhi Gyi
Jo Naghma Zan Thay Khalwat-e-Auraq Mein TayoorRukhsat Huway Tere Shajar-e-Sayadar Se
Tarap Sehan-E-Chaman Mein, Ashiyan Mein, Shakhsaron MeinJuda Pare Se Ho Sakti Nahin Taqdeer-E-Seemabi
Hathon Se Apne Daman-e-Duya Nikal GyaRukhsat Huwa Dilon Se Khiyal-e-Ma’ad Bhi
Na Juda Rahe Nawa Gar Tab-o-Taab-e-Zindagi SeKe Halaki-e-Umam Hai Ye Tareeq-e-Ne Nawazi
Afaaq Ke Har Goshe Se Uthti Hain ShuaenBichre Huwe Khursheed Se Hoti Hain Hum Aghosh