āġhosh-e-gul kushūda barā-e-vidā haiai andalīb chal ki chale din bahār ke
Widaa-e-Ghuncha Mein Hai Raaz-e-Afrainash-e-GulAdam, Adam Hai Ke Aaeena Daar-e-Hasti Hai!
bād-az-vidā-e-yār ba-ḳhūñ dar tapīda haiñnaqsh-e-qadam haiñ ham kaf-e-pā-e-nigār ke
Lekin Ye Visal Ki TamannaPegham-e-Faraaq Thi Sarapa
ham mashq-e-fikr-e-vasl-o-ġham-e-hijr se 'asad'laa.eq nahīñ rahe haiñ ġham-e-rozgār ke
Hai Khawab Sabat-e-AshnayiAaeen Jahan Ka Hai Judai
siyāhī jaise gir jaa.e dam-e-tahrīr kāġhaz parmirī qismat meñ yuuñ tasvīr hai shab-hā-e-hijrāñ kī
Hath Jis Gulcheen Ka Hai Mehfooz Nauk-e-Khar SeIshq Jis Ka Be Khabar Hai Hijar Ke Azaar Se
ruḳhsat-e-nāla mujhe de ki mabādā zālimtere chehre se ho zāhir ġham-e-pinhāñ merā
Rikhsat-e-Mehboob Ka Maqsad Fana Hota AgarJosh-e-Ulfat Bhi Dil-e-Ashiq Se Kar Jata Safar
kahūñ kyā dil kī kyā hālat hai hijr-e-yār meñ ġhālibki betābī se har-yak tār-e-bistar ḳhār-e-bistar hai
Hijar, In Qatron Ko Lekin Wasal Ki Taleem HaiDo Qadam Par Phir Wohi Joo Misl-e-Taar-e-Seem
paañv meñ jab vo hinā bāñdhte haiñmere hāthoñ ko judā bāñdhte haiñ
Pasti -e-Alam Mein Milne Ko Juda Hote Hain HumAarzi Furqat Ko Dayem Jaan Kar Rote Hain Hum
Merne Wale Merte Hain Lekin Fana Hote NahinYe Haqiqat Mein Kabhi Hum Se Juda Hote Nahin
vo firāq aur vo visāl kahāñvo shab-o-roz o māh-o-sāl kahāñ
Khauf-e-Jaan Rakhta Nahin Kuch Dast Pemaye HijazHijrat-e-Madfoon-e- Yasrab (S.A.W.) Mein Yehi Makhfi Hai Raaz