vahīñ chashm-e-hūr phaḌak ga.ī abhī pī na thī ki bahak ga.īkabhī yak-ba-yak jo chhalak ga.ī kisī rind-e-mast ke jaam se
bas-ki haiñ bad-mast-e-ba-shikan ba-shikan-e-mai-ḳhāna hammū-e-shīsha ko samajhte haiñ ḳhat-e-paimāna ham
bahut dekhe haiñ maiñ ne mashriq o maġhrib ke mai-ḳhāneyahāñ saaqī nahīñ paidā vahāñ be-zauq hai sahbā
ye hai mai-kada yahāñ riñd haiñ yahāñ sab kā saaqī imaam haiye haram nahīñ hai ai shaiḳh jī yahāñ pārsā.ī harām hai
zindagī meñ bhī rahā zauq-e-fanā kā maarānashsha baḳhshā ġhazab us sāġhar-e-ḳhālī ne mujhe
labālab shīsha-e-tahzīb-e-hāzir hai mai-e-lā semagar saaqī ke hāthoñ meñ nahīñ paimāna-e-illā
koī mast hai koī tishna-lab to kisī ke haath meñ jaam haimagar is pe koī kare bhī kyā ye to mai-kade kā nizām hai
har chand ho mushāhida-e-haq kī guftugūbantī nahīñ hai bāda-o-sāġhar kahe baġhair
rag-e-tāk muntazir hai tirī bārish-e-karam kīki ajam ke mai-kadoñ meñ na rahī mai-e-muġhāna
vahī mai-ḳhvār hai jo is tarah mai-ḳhvār ho jaa.eki shīsha toḌ de aur be-piye sarshār ho jaa.e
raat ke vaqt mai piye saath raqīb ko liyeaa.e vo yaañ ḳhudā kare par na kare ḳhudā ki yuuñ
jis kā amal hai be-ġharaz us kī jazā kuchh aur haihuur o ḳhiyām se guzar bāda-o-jām se guzar
hai yaas meñ 'asad' ko saaqī se bhī farāġhatdariyā se ḳhushk guzre mastoñ kī tishna-kāmī
guzar gayā ab vo daur saaqī ki chhup ke piite the piine vaalebanegā saarā jahān mai-ḳhāna har koī bāda-ḳhvār hogā