uzlat-guzīn-e-bazm haiñ vāmāñdagān-e-dīdmīnā-e-mai hai aabla pā-e-nigāh kā
vaa.iz subūt laa.e jo mai ke javāz meñ'iqbāl' ko ye zid hai ki piinā bhī chhoḌ de
tū ne jis ashk par nazar Daalījosh khā kar vahī sharāb huā
dekhnā lāla-e-ḳhud-rav kā lahaknā saaqīkoh se dauḌ ga.ī aag bayābāñ kī taraf
thā jalānā hī agar dūri-e-sāqī se mujheto charāġh-e-dar-e-mai-ḳhāna banāyā hotā
ġhair leñ mahfil meñ bose jaam keham raheñ yuuñ tishna-lab paiġhām ke
hadīs-e-bāda-o-mīnā-o-jām aatī nahīñ mujh kona kar ḳhārā-shigāfoñ se taqāzā shīsha-sāzī kā
mire sāqiyā mire sāqiyā tujhe marhabā tujhe marhabātū pilā.e jā tū pilā.e jā isī chashm-e-jām-ba-jām se
saaqī sambhālnā ki hai labrez jām-e-mailaġhzish hai mere paañv meñ aur ra.asha-dār haath
raat pī zamzam pe mai aur sub.h-damdho.e dhabbe jāma-e-ehrām ke
uzr-e-parhez pe kahtā hai bigaḌ kar saaqīhai tire dil meñ vahī kāvish-e-anjām abhī
tirī chashm-e-mast ko kyā kahūñ ki nazar nazar hai fusūñ fusūñye tamām hosh ye sab junūñ isī ek gardish-e-jām se
kahte hue saaqī se hayā aatī hai varnahai yuuñ ki mujhe durd-e-tah-e-jām bahut hai
abr-e-naisāñ ye tunuk-baḳhshī-e-shabnam kab takmere kohsār ke laale haiñ tahī-jām abhī
mujhe chāhiye vahī sāqiyā jo baras chale jo chhalak chaletire husn-e-shīsha-ba-dast se tirī chashm-e-bāda-ba-jām se
zamzam hī pe chhoḌo mujhe kyā tauf-e-haram seālūdā-ba-mai jāma-e-ehrām bahut hai
bāda-gardān-e-ajam vo arabī merī sharābmire sāġhar se jhijakte haiñ mai-āshām abhī