sher mardoñ se huā besha-e-tehqīq tahīrah ga.e suufī o mullā ke ġhulām ai saaqī
yaaro mujhe muaaf rakho maiñ nashe meñ huuñab do to jaam ḳhālī hī do maiñ nashe meñ huuñ
vahī haiñ shāhid-o-sāqī magar dil bujhtā jaatā haivahī hai sham.a lekin raushnī kam hotī jaatī hai
uḌā kar kaag shīshe se mai-e-gul-gūñ nikaltī haisharābī jam.a haiñ mai-ḳhāna meñ Topī uchhaltī hai
āñkheñ haiñ kaTorā sī vo sitam gardan hai surāhī-dār ġhazabaur usī meñ sharāb-e-surḳhi-e-pāñ rakhtī hai jhalak phir vaisī hī
dīvāna na samjhe hameñ vo samjhe sharābīab chaak kabhī jeb o garebāñ na kareñge
mai-ḳhāna-e-jigar meñ yahāñ ḳhaak bhī nahīñḳhamyāza khīñche hai but-e-be-dād-fan hunūz
ishq kī teġh-e-jigar-dār uḌā lī kis neilm ke haath meñ ḳhālī hai niyām ai saaqī
ek ek qurt daur meñ yuuñ hī mujhe bhī dojām-e-sharāb pur na karo maiñ nashe meñ huuñ
ham apnī rindī-o-tā.at pe ḳhaak naaz kareñqubūl-e-hazrat-e-sultāñ huī huī na huī
bahār-e-mai-kashī aa.ī chaman kī rut badaltī haighaTā mastāna uThtī hai havā mastāna chaltī hai
mīnā-e-nuh-falak hai kahāñ bāda-e-nashātshīshe haiñ ye to zahr-e-halāhal ke chaar pāñch
kyuuñ bote haiñ bāġhbāñ toñbegar baaġh gadā-e-mai nahīñ hai
siina raushan ho to hai soz-e-suḳhan ain-e-hayātho na raushan to suḳhan marg-e-davām ai saaqī
yā hāthoñ haath lo mujhe mānind-e-jām-e-maiyā thoḌī duur saath chalo maiñ nashe meñ huuñ
maiñ banūñ kis liye na mast-e-sharābkyuuñ mujassam koī shabāb huā
jahannam kī na aañch aa.egī mai-ḳhvāroñ pe o vaa.izsharāb ālūda ho jo shai vo kab ātish meñ jaltī hai
nashsha-e-ishq kā gar zarf diyā thā mujh koumr kā tañg na paimāna banāyā hotā
kyuuñ radd-e-qadah kare hai zāhidmai hai ye magas kī qai nahīñ hai
tū mirī raat ko mahtāb se mahrūm na rakhtire paimāne meñ hai māh-e-tamām ai saaqī
mastiyāñ har taraf haiñ āvārakaun ġhārat-gar-e-sharāb huā
mujhe rāz-e-ishq ke zabt meñ jo maza milā hai na pūchhiyemai-e-añgbīñ kā ye ghūñT thā ki gale se mere utar gayā
sūfiyoñ ke jo na thā lā.eq-e-sohbat to mujheqābil-e-jalsa-e-rindāna banāyā hotā