tū jahāñ par thā bahut pahle vahīñ aaj bhī haidekh rindān-e-ḳhush-anfās kahāñ tak pahuñche
shīsha-o-jām-o-subū bhar le mai-e-gul-rañg seaaj saaqī ghir ke aa.ī hai ghaTā achchhī tarah
'zafar' vo zāhid-e-bedard kī hū-haq se behtar haikare gar rind dard-e-dil se hāv-hū-e-mastānā
dost ahbāb se hañs bol ke kaT jā.egī raatrind-e-āzād haiñ ham ko shab-e-furqat kaisī
mai-kada gar chashm-e-mast-e-nāz se paave shikastmū-e-shīsha dīda-e-sāġhar kī mizhgānī kare
lā phir ik baar vahī baada o jaam ai saaqīhaath aa jaa.e mujhe merā maqām ai saaqī
shaiḳh jo hai masjid meñ nañgā raat ko thā mai-ḳhāne meñjubba ḳhirqa kurtā Topī mastī meñ in.aam kiyā
baḌh ke rindoñ ne qadam hazrat-e-vā.iz ke liyegirte paḌte jo dar-e-pīr-e-muġhāñ tak pahuñche
kisī din to chale ai āsmāñ bād-e-murād aisīki utreñ kashtī-e-mai par ghaTā.eñ bādbāñ ho kar
hameñ sāġhar-e-bāda ke dene meñ ab kare der jo saaqī to haa.e ġhazabki ye ahd-e-nashāt ye daur-e-tarab na rahegā jahāñ meñ sadā na rahā
rañg-e-sharāb se mirī niyyat badal ga.īvaa.iz kī baat rah ga.ī saaqī kī chal ga.ī
chashm-e-ḳhūbāñ mai-farosh-e-nashshah-zār-e-nāz haisurma goyā mauj-e-dūd-e-shola-e-āvāz hai
tiin sau saal se haiñ hind ke mai-ḳhāne bandab munāsib hai tirā faiz ho aam ai saaqī
umr bhar ham rahe sharābī sedil-e-pur-ḳhūñ kī ik gulābī se
kuchh aise bhī to haiñ rindān-e-pāk-bāz 'jigar'ki jin ko be-mai-o-sāġhar pilā.ī jaatī hai
koī mai de yā na de ham riñd-e-be-parvā haiñ aapsāqiyā apnī baġhal meñ shīsha-e-sahbā haiñ aap
saaqī sambhāltā hai to jaldī mujhe sambhālvarna uḌā ke paañ nasha-e-banj le chalā
na vo aan rahī na umañg rahī na vo rindī o zohd kī jañg rahīsū-e-qibla nigāhoñ ke ruḳh na rahe aur dar pe naqsh-e-jabīñ na rahe
kyuuñ gardish-e-mudām se ghabrā na jaa.e dilinsān huuñ piyāla o sāġhar nahīñ huuñ maiñ
merī mīnā-e-ġhazal meñ thī zarā sī baaqīsheḳh kahtā hai ki hai ye bhī harām ai saaqī
aave jo mastaba meñ to sun lo ki raah sevaa.iz ko ek jām-e-mai-e-nāb le gayā
vahī mai-ḳhāna-o-sahbā vahī sāġhar vahī shīshamagar āvāz-e-noshā-nosh maddham hotī jaatī hai
detā nahīñ hai saath tahī-dast kā koījab tak ki mai hai shīshe meñ paimāna saath hai
apnī chashm-e-mast kī gardish na ai saaqī dikhādekh chakkar meñ abhī jām-e-sharāb aa jā.egā
na vo jaam rahe na vo mast rahe na fidā.i-e-ahd-e-alast rahevo tarīqa-e-kār-e-jahāñ na rahā vo mashāġhil-e-raunaq-e-dīñ na rahe
dil guzargāh-e-ḳhayāl-e-mai-o-sāġhar hī sahīgar nafas jāda-e-sar-manzil-e-taqvī na huā