Chaman Mein Gulcheen Se Ghuncha Kehta Tha, Itna Bedard Kyun Hai InsanTeri Nigahon Mein Hai Tabassum Shakista Ho Na Mere Saboo Ka
Tamam Mazmoon Mere Parane, Kalam Mera Khata SarapaHunar Koi Dekhta Hai Mujh Mein To Ayb Hai Mere Ayb Joo Ka
Ye Rasm-e-Bazm-e-Fana Hai Ae Dil! Gunah Hai Junbish-e-Nazar BhiRahe Gi Kya Abru Humari Jo Tu Yahan Be-Qarar Ho Ga
Qabar Uss Tehzeeb Ki Ye Sarzameen-E-Paak HaiJis Se Taak-E-Gulshan-E-Yourap Ki Rag Namnaak Hai
Mataa-e-Noor Ke Lut Jane Ka Hai Dar Tujh KoHai Kya Haras-e-Fana Soorat-e-Sharar Tujh Ko?
Ajal Hai Lakhon Sitaron Ki Ek Waladat-e-MehrFana Ki Neend Mai-e-Zindagi Ki Masti Hai
Qabr Ki Zulmat Mein Hai Un Aftabon Ki ChamakJin Ke Darwazon Pe Rehta Tha Jabeen-Gastar Falak
Roab-e-Faghfoori Ho Dunya Mein Ke Shan-e-QaisariTal Nahin Sakti Ghaneem-e-Mout Ki Yorish Kabhi
Mout Har Shah-o-Gada Ke Khawab Ki Tabeer HaiIss Sitam-Gar Ka Sitam Insaf Ki Tasveer Hai
Silsila Hasti Ka Hai Ek Behr-e-Na Paida KinarAur Iss Darye Be Payan Ki Moujain Hain Mazar