Chor Kar Manind-e-Bu Tera Chaman Jata Hun MainRukhsat Ae Bazm-e-Jahan! Sooye Watan Jata Hun Main
shabnam ba-gul-e-lāla na ḳhālī z-adā haidāġh-e-dil-e-bedard nazar-gāh-e-hayā hai
Hum-Nasheen-e-Nargis-e-Shehla, Rafeeq-e-Gul Hun MainHai Chaman Mera Watan, Humsaya-e-Bulbul Hun Main
timsāl meñ terī hai vo shoḳhī ki ba-sad-zauqā.īna ba-andāz-e-gul āġhosh-kushā hai
Hum Watan Shamshad Ka, Qumri Ka Main Humraaz HunIss Chaman Ki Khamashi Mein Gosh Bar-Awaz Hun
qumrī kaf-e-ḳhākistar o bulbul qafas-e-rañgai naala nishān-e-jigar-e-soḳhta kyā hai
Ilm Ke Hairat-Kade Mein Hai Kahan Iss Ki Namood!Gul Ki Patti Mein Nazar Ata Hai Raaz-e-Hast-o-Bood
bū-e-gul nāla-e-dil dūd-e-charāġh-e-mahfiljo tirī bazm se niklā so pareshāñ niklā
Uthaye Kuch Waraq Lale Ne, Kuch Nargis Ne, Kuch Gul NeChaman Mein Har Taraf Bikhri Huwi Hai Dastan Meri
Urha Li Qumriyon Ne, Tootiyon Ne, Andleebon NeChaman Walon Ne Mil Kar Loot Li Tarz-e-Faghan Meri
Mera Rona Nahi, Rona Hai Ye Sare Gulistan KaWoh Gul Hon Main, Khazan Har Gul Ki Hai Goya Khazan Meri
Nishan-e-Barg-e-Gul Tak Bhi Na Chorh Iss Bagh Mein Gul-Cheen !Teri Qismat Se Razm Arayan Hain Baghbanon Mein
āġhosh-e-gul kushūda barā-e-vidā haiai andalīb chal ki chale din bahār ke
Chupa Kar Asteen Mein Bijliyan Rakhi Hain Gardoon NeAnadil Bagh Ke Ghafil Na Baithen Ashiyon Mein
pas-az-murdan bhī dīvāna ziyārat-gāh-e-tiflāñ haisharār-e-sañg ne turbat pe merī gul-fishānī kī
Tu Kahan Hai Ae Kaleem-e-Zarwa-e-Seenaye IlmThi Teri Mouj-e-Nafas Baad-e-Nishat Afzaye Ilm
nashsha-e-rañg se hai vāshud-e-gulmast kab band-e-qabā bāñdhte haiñ
Tujhe Nazare Ka Misl-e-Kaleem(A.S.) Souda ThaAwais (R.A.) Taqat-e-Deedar Ko Tarasta Tha
nazar ba-naqs-e-gadāyāñ kamāl-e-be-adabī haiki ḳhār-e-ḳhushk ko bhī dāvā-e-chaman-nasabī hai