phire raah se vo yahāñ aate aateajal mar rahī tū kahāñ aate aate
raah ke tālib haiñ par be-rāh paḌte haiñ qadamdekhiye kyā DhūñDhte haiñ aur kyā paate haiñ ham
gurez chāhiye tūl-e-amal se sālik kosunā hai raah ye jaatī hai rāhzan kī taraf
sab kuchh luTā ke rāh-e-mohabbat meñ ahl-e-dilḳhush haiñ ki jaise daulat-e-kaunain pā ga.e
ma.azūlī-e-tapish huī ifrāt-e-intizārchashm-e-kushāda halqa-e-bairūn-e-dar hai aaj
nishān-e-rāh dikhāte the jo sitāroñ kotaras ga.e haiñ kisī mard-e-rāh-dāñ ke liye
ham ḳhaak meñ mile to mile lekin ai sip.harus shoḳh ko bhī raah pe laanā zarūr thā
tirī aañkh phirte hī kaisā phirā haimirī raah par āsmāñ aate aate
ek din raah pe jā pahuñche hamshauq thā bādiya-paimā.ī kā
sunte ho ahl-e-qāfila maiñ koī rāhbar nahīñdekh rahā huuñ tum meñ se ek bhī raah par nahīñ
aql o junūñ meñ sab kī thiiñ rāheñ judā judāhir-phir ke lekin ek hī manzil pe aa ga.e
har chand subuk-dast hue but-shikanī meñham haiñ to abhī raah meñ hai sañg-e-girāñ aur
vo dāna-e-subul ḳhatmur-rusul maulā-e-kul jis neġhubār-e-rāh ko baḳhshā faroġh-e-vādī-e-sīnā
kahne lagā ki dekh ke chal raah be-ḳhabarmaiñ bhī kabhū kisū kā sar-e-pur-ġhurūr thā
qayāmat bhī aatī thī hamrāh us kemagar rah ga.ī ham-ināñ aate aate
rahnumāoñ ke hue jaate haiñ ausān ḳhatāraah meñ kuchh nazar aatī hai ḳhatar kī sūrat
dil-e-nā-tavāñ ko takān ho mujhe us kī taab na thī zarāġham-e-intizār se bach gayā thā naved-e-vasl se mar gayā
paate nahīñ jab raah to chaḌh jaate haiñ naaleruktī hai mirī tab.a to hotī hai ravāñ aur
rag-e-tāk muntazir hai tirī bārish-e-karam kīki ajam ke mai-kadoñ meñ na rahī mai-e-muġhāna
aave jo mastaba meñ to sun lo ki raah sevaa.iz ko ek jām-e-mai-e-nāb le gayā
aamad hai kisī kī ki gayā koī idhar sekyuuñ sab taraf-e-rāhguzar dekh rahe haiñ
har dāġh-e-tāza yak-dil-e-dāġh intizār haiarz-e-fazā-e-sīna-e-dard imtihāñ na pūchh
na diyā nishān-e-manzil mujhe ai hakīm tū nemujhe kyā gila ho tujh se tū na rah-nashīñ na raahī