ruḳhsat huī shabāb ke hamrāh zindagīkahne kī baat hai ki jiye jā rahā huuñ maiñ
behtar yahī hai qasd udhar kā kareñ na voaisā na ho ki raah meñ dushman kā ghar paḌe
kareñge qasd ham jis dam tumhāre ghar meñ āveñgejo hogī umr bhar kī raah to dam bhar meñ āveñge
hai intizār se sharar ābād rustaḳhezmizhgān-e-koh-kan rag-e-ḳhārā kaheñ jise
maanā ki terī diid ke qābil nahīñ huuñ maiñtū merā shauq dekh mirā intizār dekh
ai vo ki tū baiThā hai sar-e-rāh pe zinhārkahiyo jo kabhū 'mīr' balā-kash idhar aave
tark-e-rasm-o-rāh par afsos hai donoñ tarafham se nādānī huī yā tum se nādānī huī
ishq ko tāb-e-intizār na thīġhurfa ik dil meñ vā kiyā tū ne
ba.ad mere na rahā ishq kī manzil kā nishāñmiT ga.e rāh-rau o rāhguzar donoñ saath
dil meñ kisī ke raah kiye jā rahā huuñ maiñkitnā hasīñ gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
badlī vo havā guzrā vo samāñ vo raah nahīñ vo log nahīñtafrīh kahāñ aur sair kujā ghar se bhī nikalnā chhoḌ diyā
dil ko dil se raah hai to jis tarah se ham tujheyaad karte haiñ kare yuuñ hī hameñ bhī yaad tū
jo hai tujhe sar-e-saudā-e-intizār to aaki haiñ dukān-e-matā-e-nazar dar-o-dīvār
har shai musāfir har chiiz raahīkyā chāñd taare kyā murġh o maahī
garm-rau rāh-e-fanā kā nahīñ ho saktā patañgus se to sham.a-namat sar bhī kaTāyā na gayā
ai asar kar na intizār-e-duāmāñgnā saḳht be-hayā.ī hai
dekhte haiñ ki pahuñchtī hai vahāñ kaun sī raahka.aba o dair se kuchh ham ko sarokār nahīñ
javāb naame kā qāsid mazār par laayāki jāntā thā use tāb-e-intizār nahīñ
aage qadam baḌhā.eñ jinheñ sūjhtā nahīñraushan charāġh-e-rāh kiye jā rahā huuñ maiñ
allāh kī raah ab tak hai khulī āsār-o-nishāñ sab qaa.em haiñallāh ke bandoñ ne lekin us raah meñ chalnā chhoḌ diyā
kuchh aisā ho ki jis se manzil-e-maqsūd ko pahuñchūñtarīq-e-pārsā.ī hove yā ho rāh-e-rindānā
bhāge the ham bahut so usī kī sazā hai yeho kar asiir dābte haiñ rāhzan ke paañv
duniyā-e-dūñ kī kab tak ġhulāmīyā rāhebī kar yā pādshāhī
jin ke liye apne to yuuñ jaan nikalte haiñis raah meñ ve jaise anjān nikalte haiñ
ġhazab kiyā tire va.ade pe e'tibār kiyātamām raat qayāmat kā intizār kiyā
bas ho chukā bayāñ kasal-o-ranj-e-rāh kāḳhat kā mire javāb hai ai nāma-bar kahāñ
manzil-e-tūl-e-amal darpesh aur mohlat hai kamraah kis se pūchhiye hairat meñ naqsh-e-pā haiñ aap
toḌ kar baiThā huuñ rāh-e-shauq meñ pā-e-talabdekhnā hai jazba-e-be-tābī-e-manzil mujhe