dekhiye hotī hai kab raahī sū-e-mulk-e-adamḳhāna-e-tan se hamārī ruuh ghabrā.ī to hai
rāheñ haiñ do majāz o haqīqat hai jin kā naamraste nahīñ haiñ ishq kī manzil ke chaar pāñch
vaañ vo ġhurūr-e-izz-o-nāz yaañ ye hijāb-e-pās-e-vaza.araah meñ ham mileñ kahāñ bazm meñ vo bulā.e kyuuñ
naumīd na ho in se ai rahbar-e-farzānakam-kosh to haiñ lekin be-zauq nahīñ raahī
āfāq kī manzil se gayā kaun salāmatasbāb luTā raah meñ yaañ har safarī kā
na aa.e raah pe vo ijz be-shumār kiyāshab-e-visāl bhī maiñ ne to intizār kiyā
shahsavāroñ pe band hai jo raahvaqf hai yaañ barahna paañv par
raftār-e-sāya ko hai past-o-buland yaksāñThokar kabhī na khaa.e rāh-e-farotanī meñ
dil pe kuchh aisā vaqt paḌā haibhāge lekin raah na paa.e
kamāl mehnat se paḌh rahe haiñ kamāl ġhairat se baḌh rahe haiñsavār mashriq kī raah meñ haiñ to maġhribī raah meñ piyāde
hazrat-e-nāseh gar aaveñ diida o dil farsh-e-rāhkoī mujh ko ye to samjhā do ki samajhāveñge kyā
kabhī ai haqīqat-e-muntazar nazar aa libās-e-majāz meñki hazāroñ sajde taḌap rahe haiñ mirī jabīn-e-niyāz meñ
ai shor-e-qayāmat ham sote hī na rah jāveñis raah se nikle to ham ko bhī jagā jaanā
kahīñ aise bigḌe sañvarte bhī dekhena ā.eñge vo raah par dekh lenā
dil meñ hai ai ḳhizr gar sidaq-e-talabrāh-rau ko rah-numoñ se kyā ġharaz
ġhubār-e-rāh se ai 'nazm' ye āvāz aatī haiga.ī ai umr-e-rafta tū kidhar pheñkā kahāñ mujh ko
rāh-e-junūñ āsān huī haizulf o mizha ke saa.e saa.e
kyā jāniye sayyad the haq āgāh kahāñ taksamjhe na ki sīdhī hai mirī raah kahāñ tak
kis kā ḳhayāl ā.ina-e-intizār thāhar barg-e-gul ke parde meñ dil be-qarār thā
ziyārat-gāh-e-ahl-e-azm-o-himmat hai lahad merīki ḳhāk-e-rāh ko maiñ ne batāyā rāz-e-alvandī
rāh-e-dūr-e-ishq meñ rotā hai kyāaage aage dekhiye hotā hai kyā
har har nafas meñ dil se nikalne lagā ġhubārkyā jaane gard-e-rāh ye kis kārvāñ kī hai
pyāse tire sar-gashta haiñ jo rāh-e-talab meñhoñToñ ko vo karte nahīñ tar āb-e-baqā se
banāyā toḌ ke ā.īna ā.īna-ḳhānana dekhī raah jo ḳhalvat se anjuman kī taraf
jab nigāheñ uTh ga.iiñ allāh-rī merāj-shauqdekhtā kyā huuñ vo jān-e-intizār aa hī gayā
har gaam aable se hai dil dar-tah-e-qadamkyā biim ahl-e-dard ko saḳhtī-e-rāh kā
mah o sitāra se aage maqām hai jis kāvo musht-e-ḳhāk abhī āvārgān-e-rāh meñ hai
ik chashm-e-muntazar hai ki dekhe hai kab se raahjoñ zaḳhm terī duurī meñ nāsūr ho gayā