muhīt-e-ishq meñ hai kyā umiid o biim mujheki Duub Duub ke kashtī mirī nikaltī hai
ajzā badan ke jitne the paanī ho bah ga.eāḳhir gudāz ishq ne ham ko bahā diyā
vo bad-ḳhū aur merī dāstān-e-ishq tūlānīibārat muḳhtasar qāsid bhī ghabrā jaa.e hai mujh se
Had-e-Adraak Se Bahir Hain Batain Ishq-o-Masti KiSamajh Mein Iss Qadar Aya Ke Dil Ki Mout Hai Doori
ye kamāl-e-ishq kī sāzisheñ ye jamāl-e-husn kī nāzisheñye ināyateñ ye navāzisheñ mirī ek musht-e-ġhubār par
shābāsh 'dāġh' tujh ko kyā teġh-e-ishq khaa.ījī karte haiñ vahī jo mardāne aadmī haiñ
goyā muhāsba mujhe denā thā ishq kāus taur dil sī chiiz ko maiñ ne lagā diyā
hue haiñ paañv hī pahle nabard-e-ishq meñ zaḳhmīna bhāgā jaa.e hai mujh se na Thahrā jaa.e hai mujh se
Aysh-e-Manzil Hai Ghareeban-e-Mohabbat Pe HaramSub Musafir Hain, Bazahir Nazar Ate Hain Maqeem
ik sarḳhushi-e-ishq hai ik be-ḳhudī-e-shauqāñkhoñ ko ḳhudā jaane mirī kyā nazar aayā
jiine meñ iḳhtiyār nahīñ varna ham-nashīñham chāhte haiñ maut to apnī ḳhudā se aaj
ishq se tabī.at ne ziist kā mazā paayādard kī davā paa.ī dard-e-be-davā paayā
Ishq Teri Intaha, Ishq Meri IntahaTu Bhi Abhi Na-Tamam, Main Bhi Abhi Na-Tamam
un kā jo farz hai vo ahl-e-siyāsat jāneñmerā paiġhām mohabbat hai jahāñ tak pahuñche
āvegī merī qabr se āvāz mere ba.adubhreñge ishq-e-dil se tire raaz mere ba.ad
ne 'asad' jafā-sā.il ne sitam junūñ-mā.iltujh ko jis qadar DhūñDā ulfat-āzmā paayā
Ya Aqal Ki Roobahi Ya Ishq-e-YadullahiYa Heela-e-Afrangi Ya Hamla-e-Tarkana!
ishq kī choT dikhāne meñ kahīñ aatī haikuchh ishāre the ki jo lafz-o-bayāñ tak pahuñche
āshiq sā to saada koī aur na hogā duniyā meñjī ke ziyāñ ko ishq meñ us ke apnā vaarā jaane hai
huuñ kashmakash-e-naz.a meñ haañ jazb-e-mohabbatkuchh kah na sakūñ par vo mire pūchhne ko aa.e
Turki Bhi Sheerin, Tazi Bhi SheerinHarf-e-Mohabbat Turki Na Tazi
ishq hai pyāre khel nahīñ haiishq hai kāre-shīsha-o-āhan
kyā kyā fitne sar par us ke laatā hai māshūq apnājis be-dil be-tāb-o-tavāñ ko ishq kā maarā jaane hai