Ghazah-e-Ulfat Se Ye Khak-e-Seh Aaeena HaiAur Aaeene Mein Aks-e-Humdam-e-Dairina Hai
Husn-e-Niswani Hai Bijli Teri Fitrat Ke LiyePhir Ajab Ye Hai Ke Tera Ishq Be Parwa Bhi Hai
Ishq Ki Ashuftagi Ne Kar Diya Sehra JiseMusht-e-Khak Aesi Nahan Zair-e-Qaba Rakhta Hun Main
Har Taqaza Ishq Ki Fitrat Ka Ho Jis Se KhamoshAah! Woh Kamil Tajalli Mudda Rakhta Hun Main
Zindagi Ulfat Ki Dard Anjamiyon Se Hai MeriIshq Ko Azad-e-Dastoor-e-Wafa Rakhta Hun Main
Soton Ko Naddiyon Ka Shauq, Behar Ka Naddiyon Ko IshqMoja-e-Behar Ko Tapish Mah-e-Tamam Ke Liye
Aah! Umeed Mohabbat Ki Bar Ayi Na KabhiChot Mizrab Ki Iss Saaz Ne Khayi Na Kabhi
Moti Khush Rang, Pyare PyareTani Tere Aansuon Ke Tare
Ahl-e-Mehfil Ko Dikha Dain Asr-e-Saqeel-e-IshqSang-e-Amroz Ko Aeena-e-Farda Kar Dain
Mila Mohabbat Ka Souz Mujh Ko To Bole Subah-e-Azal FarishteMisal-e-Shama-e-Mazar Hai Tu, Teri Koi Anjuman Nahin Hai
Riyaz-e-Hasti Ke Zarre Zaree Se Hai Mohabbat Ka Jalwa PaidaHaqiqat-e-Gul Ko Tu Jo Samajhe To Ye Bhi Pema Hai Rang-o-Bu Ka
Mujhe Phoonka Hai Souz-e-Qatra-e-Ashak-e-Mohabbat NeGhazab Ki Aag Thi Pani Ke Chote Se Sharare Mein
Pa Gyi Aasudgi Kooye Mohabbat Mein Woh KhaakMuddaton Aawara Jo Hikmat Ke Sehraon Mein Thi
Khuda Ke Ashiq To Hain Hazaron, Bannu Mein Phirte Hain Mare MareMein Uss Ka Banda Bano Ga Jis Ko Khuda Ke Bandon Se Pyar Ho Ga