yuuñ hī dukh kisī ko denā nahīñ ḳhuub varna kahtāki mire adū ko yā rab mile merī zindagānī
Main Shakh-e-Taak Hun, Meri Ghazal Hai Mera SamarMere Samar Se Mai-e-Lala Faam Paida Kar
fanā ko sauñp gar mushtāq hai apnī haqīqat kāfaroġh-e-tāla-e-ḳhāshāk hai mauqūf gulḳhan par
Khulta Nahin Mere Safar-e-Zindagi Ka RaazLaun Kahan Se Banda-e-Sahib Nazar Ko Main
Dhāñpā kafan ne dāġh-e-uyūb-e-barahnagīmaiñ varna har libās meñ nañg-e-vajūd thā
Hai Magar Fursat-e-Kirdar Nasf Ya Do NafsEwz-e-Yak Do Nafs Qabar Ki Shab Haye Daraz
huuñ kashmakash-e-naz.a meñ haañ jazb-e-mohabbatkuchh kah na sakūñ par vo mire pūchhne ko aa.e
Mere Didar Ki Hai Ek Yehi SharatKe Tu Pinhan Na Ho Apni Nazar Se
maut kā ek din muayyan hainiind kyuuñ raat bhar nahīñ aatī
Ae Murda’ay Sad Sala ! Tujhe Kya Nahin Maloom?Har Mout Ka Poshida Taqaza Hai Qayamat !
marte haiñ aarzū meñ marne kīmaut aatī hai par nahīñ aatī
Jis Mout Ka Poshida Taqaza Hai QayamatUss Mout Ke Phande Mein Giraftar Nahin Main