khel samjhā hai kahīñ chhoḌ na de bhuul na jaa.ekaash yuuñ bhī ho ki bin mere satā.e na bane
Dil Ko Tarpati Hai Ab Taak Garmi-E-Mehfil Ki YaadJal Chuka Hasil Magar Mehfooz Hai Hasil Ki Yaad
yād-e-mizhgāñ meñ ba-nashtar-e-zār-e-saudā-e-ḳhayālchāhiye vaqt-e-tapish yak-dast sad-pahlū mujhe
Ae Gulistan-e-Aundlas ! Woh Din Hain Yaad Tujh KoTha Teri Daliyon Par Jab Ashiyan Humara
phir mujhe dīda-e-tar yaad aayādil jigar tishna-e-faryād aayā
Ye Zaeeran-e-Hareem-e-Magrib Hazar Rahbar Banain HumareHumain Bhala In Se Wasta Kya Jo Tujh Se Na-Ashna Rahe Hain
dam liyā thā na qayāmat ne hanūzphir tirā vaqt-e-safar yaad aayā
Yad-e-Ehd-e-Rafta Meri Khak Ko Ikseer HaiMera Mazi Mere Istaqbal Ki Tafseer Hai
sādgī-hā-e-tamannā ya.anīphir vo nairañg-e-nazar yaad aayā
Na Paimaal Karain Mujh Ko Zaeeran-e-ChamanInhi Ki Shakh Nasheman Ki Yadgar Hun Main
uzr-e-vāmāndagī ai hasrat-e-dilnaala kartā thā jigar yaad aayā
Khazan Main Mujh Ko Rulati Hai Yad-e-Fasl-e-BaharKhushi Ho Eid Ki Kyunkar Ke Sougwar Hun Main
zindagī yuuñ bhī guzar hī jaatīkyuuñ tirā rāhguzar yaad aayā
Ujaar Ho Gye Ehd-e-Kuhan Ke MaikhaneGuzishta Badah Praston Ki Yaadgar Hun Main