merī zabāñ pe shikva-e-dard-āfrīñ raheshāyad mire havās Thikāne nahīñ rahe
unheñ manzūr apne zaḳhmiyoñ kā dekh aanā thāuThe the sair-e-gul ko dekhnā shoḳhī bahāne kī
Parh Liye Main Ne Uloom-e-Sharaq-o-GharbRooh Mein Baqi Hai Ab Tak Dard-o-Karb
dard-o-ġham-e-firāq ke ye saḳht marhalehairāñ huuñ maiñ ki phir bhī tum itne hasīñ rahe
ġham khāne meñ buudā dil-e-nākām bahut haiye rañj ki kam hai mai-e-gulfām bahut hai
Ta Dil-e-Sahibd Le Na Mad Ba DardHaich Qoume Ra Khda Ruswa Na Kard
kis dard se kisī ne kahā aaj bazm meñachchhā ye hai vo nañg-e-mohabbat yahīñ rahe
kahte hue saaqī se hayā aatī hai varnahai yuuñ ki mujhe durd-e-tah-e-jām bahut hai
Aah Ae Jibreel! Tu waqif Nahin Iss Raaz SeKar Gya Sarmast Mujh Ko Toot Kar Mera Saboo
is ishq kī talāfi-e-māfāt dekhnārone kī hasrateñ haiñ jab aañsū nahīñ rahe
ġham nahīñ hotā hai āzādoñ ko besh az-yak-nafasbarq se karte haiñ raushan sham-e-mātam-ḳhāna ham
Naghma-e-Haye Shuaq Se Teri Faza Maamoor HaiZakhmawar Ka Muntazir Tha Teri Fitrat Ka Rubab
shikast-e-husn kā jalva dikhā ke luuT liyānigāh nīchī kiye sar jhukā ke luuT liyā
shām-e-ġham meñ soz-e-ishq-e-ātish-e-ruḳhsār separ-fashān-e-soḳhtan haiñ sūrat-e-parvāna ham
Ek Muflas-e-Khud-Dar Ye Kehta Tha Khuda SeMain Kar Nahin Sakta Gila-e-Dard-e-Faqeeri