āñkhoñ ne dikhā dī jo tire ġham kī haqīqataalam mujhe saarā tah-o-bālā nazar aayā
ye qissa vo nahīñ tum jis ko qissa-ḳhvāñ se sunomire fasāna-e-ġham ko mirī zabāñ se suno
shab-e-firāq jo khole haiñ ham ne zaḳhm-e-jigarye intizār hai kab chāñdnī nikaltī hai
har gaam aable se hai dil dar-tah-e-qadamkyā biim ahl-e-dard ko saḳhtī-e-rāh kā
mere huzūr sham.a ne girya jo sar kiyāroyā maiñ is qadar ki mujhe aab le gayā
Garan Baha Hai Tera Girya-e-SehargahiIssi Se Hai Tere Nakhl-e-Kuhan Ki Shadabi
jab har ik shorish-e-ġham zabt-e-fuġhāñ tak pahuñchephir ḳhudā jaane ye hañgāma kahāñ tak pahuñche
sunāo dard-e-dil apnā to dam-ba-dam fariyādmisāl-e-nai mirī har ek ustuḳhvāñ se suno
ġham-e-firāq meñ ho 'dāġh' is qadar betābzarā se ranj meñ jaañ aap kī nikaltī hai
tā.ūs-e-dar-rikāb hai har zarra aah kāyā-rab nafas ġhubār hai kis jalva-gāh kā
zaḳhm jhele daaġh bhī khaa.e bahutdil lagā kar ham to pachhtā.e bahut
Tameer-e-Khudi Kar, Asar-e-Aah-e-Rasa Dekh!Khurshid-e-Jahan Taab Ki Zou Tere Sharar Mein
ishq kī choT dikhāne meñ kahīñ aatī haikuchh ishāre the ki jo lafz-o-bayāñ tak pahuñche
ā.īne ko naaz thā kyā apne rū-e-sāf paraañkh hī par dekhte hī terī sūrat khul ga.ī
ġham-e-duniyā se gar paa.ī bhī fursat sar uThāne kīfalak kā dekhnā taqrīb tere yaad aane kī
Ae Imam-e-Ashiqaan-e-Dardmand!Yaad Hai Mujh Ko Tera Harf-e-Buland
jalve betāb the jo parda-e-fitrat meñ 'jigar'ḳhud taḌap kar mirī chashm-e-nigarāñ tak pahuñche
lipaTnā parniyāñ meñ shola-e-ātish kā pinhāñ haivale mushkil hai hikmat dil meñ soz-e-ġham chhupāne kī
Aah, Yourap Ba-Farogh-o-Taab NaakNaghma Iss Ko Khanchta Hai Soo’ay Khak