jinheñ kahiye ishq kī vus.ateñ jo haiñ ḳhaas husn kī azmateñye usī ke qalb se pūchhiye jise faḳhr ho ġham-e-yār par
vāqif haiñ ham ki hazrat-e-ġham aise shaḳhs haiñaur phir ham un ke yaar haiñ ham aise shaḳhs haiñ
haath ham se milāo ai muusāāshiq-e-rū-e-yār ham bhī haiñ
kam jānte the ham bhī ġham-e-ishq ko par abdekhā to kam hue pa ġham-e-rozgār thā
sher ke parde meñ maiñ ne ġham sunāyā hai bahutmarsiye ne dil ke mere bhī rulāyā hai bahut
Tujh Se Meri Zindagi Souz-o-Tab-o-Dard-o-DaghTu Hi Meri Arzoo, Tu Hi Meri Justujoo
mire ashk-e-ḳhūñ kī bahār hai ki muraqqa-e-ġham-e-yār haimirī shā.irī bhī nisār hai mirī chashm-e-sehr-nigār par
kahāñ aañsū ke qatre ḳhūn-e-dil se haiñ baham nikleye dil meñ jam.a the muddat se kuchh paikān-e-ġham nikle
dekh kar rū-e-yār salle-alābe-tahāshā zabān se niklā
juuñ ġhuncha-o-gul āfat-e-fāl-e-nazar na pūchhpaikāñ se tere jalva-e-zaḳhm āshkār thā
be-sabab aatā nahīñ ab dam-ba-dam āshiq ko ġhashdard khīñchā hai nihāyat ranj uThāyā hai bahut
Silsalah-E-Roz-O-Shab, Saaz-E-Azal Ki FaghanJis Se Dikhati Hai Zaat Zair-O-Bam-E-Mumkinaat
mirī samt se use ai sabā ye payām-e-āḳhir-e-ġham sunāabhī dekhnā ho to dekh jā ki ḳhizāñ hai apnī bahār par
jigar par daaġh lab par dūd-e-dil aur ashk dāman meñtirī mahfil se ham mānind-e-sham.a sub.h-dam nikle
mere aañsū kī us ne kī tārīfḳhuub motī ye kaan se niklā
shādī se guzar ki ġham na hoveurdī jo na ho to dai nahīñ hai
jī Dhahā jaa.e hai sahar se aahraat guzregī kis ḳharābī se
Dekha Bhi Dikhaya Bhi, Sunaya Bhi Suna BhiHai Dil Ki Tasalli Na Nazar Mein, Na Khabar Mein!
maiñ rahīn-e-dard sahī magar mujhe aur chāhiye kyā 'jigar'ġham-e-yār hai mirā shefta maiñ farefta ġham-e-yār par
shola-e-husn chaman meñ na dikhāyā us nevarna bulbul ko bhī parvāna banāyā hotā
jaan jaatī dikhā.ī detī haiun kā aanā nazar nahīñ aatā
maqtal ko kis nashāt se jaatā huuñ maiñ ki haipur-gul ḳhayāl-e-zaḳhm se dāman nigāh kā
kin nīndoñ ab tū sotī hai ai chashm-e-girya-nākmizhgāñ to khol shahr ko sailāb le gayā
Gya Dour-E-Sarmaya Dari, GyaTamasha Dikha Kar Madari Gya