jalva phir arz-e-nāz kartā hairoz bāzār-e-jāñ-sipārī hai
Ankh Teri Sift-e-Aaeena Heran Hai KyaNoor-e-Agahi Se Roshan Teri Pehchan Hai Kya
phir khulā hai dar-e-adālat-e-nāzgarm-bāzār-e-faujdārī hai
Maarti Hai Inhain Ponhchon Se, Ajab Naaz Hai YeChair Hai, Gussa Hai Ya Pyar Ka Andaz Hai Ye?
ho rahā hai jahān meñ andherzulf kī phir sirishta-dārī hai
Khas Insan Se Kuch Husn Ka Ehsas NahinSoorat-e-Dil Hai Ye Har Cheez Ke Batin Mein Makeen
na niklā aañkh se terī ik aañsū us jarāhat parkiyā siine meñ jis ne ḳhūñ-chakāñ mizhgān-e-sozan ko
Jalwa Ashaam Haiye Subah Ke Mai Khane MeinZindagi Iss Ki Hai Khursheed Ke Pemane Mein
ai ba-zabt-e-hāl-e-nā-afsurdagāñ josh-e-junūñnashsha-e-mai hai agar yak-parda nāzuk-tar huā
Mere Khusheed! Kabhi Tu Bhi Utha Apni NaqabBeher-e-Nazara Tarapti Hai Nigah-e-Betaab
dil-e-nāzuk pe us ke rahm aatā hai mujhe 'ġhālib'na kar sargarm us kāfir ko ulfat āzmāne meñ
Anjaam Hai Iss Kharaam Ka HusnAghaz Hai Ishq, Intihaa Husn
nazzāra kyā harīf ho us barq-e-husn kājosh-e-bahār jalve ko jis ke naqāb hai
Ghazah-e-Ulfat Se Ye Khak-e-Seh Aaeena HaiAur Aaeene Mein Aks-e-Humdam-e-Dairina Hai
maiñ nā-murād dil kī tasallī ko kyā karūñmaanā ki tere ruḳh se nigah kāmyāb hai
Har Shay Mein Hai Namayan Yun To Jamal Uss KaAnkhon Mein Hai Sulema! Teri Kamal Uss Ka