Nawa Pera Ho Ae Bulbul Ke Ho Tere Taranum SeKabootar Ke Tan-E-Nazuk Mein Shaheen Ka Jigar Paida
Iss Gulistan Mein Nahin Had Se Guzarna AchaNaz Bhi Kar To Ba Andaza-e-Raanayi Kar
Tu Bacha Bacha Ke Na Rakh Isse, Tera Aaeena Hai Woh AaeenaKe Shikast Ho To Aziz Tar Hai Nigah-e-Aaeena Saaz Mein
نہ وہ عشق میں رہیں گرمیاں،نہ وہ حسن میں رہیں شوخیاںنہ وہ غزنوی میں تڑپ رہی، نہ وہ خم ہے زلف ایاز میں
Na Woh Ishq Mein Raheen Garmiyaan, Na Woh Husn Mein Raheen ShaukiyanNa Woh Ghaznavi Mein Tarap Rahi, Na Kham Hai Zulf-e-Ayaz Mein
Tera Jalwa Kuch Bhi Tasalli Dil-e-Na-Saboor Na Kar SakaWohi Garya-e-Sehri Raha, Wohi Aah-e-Neem Shabi Rahi
Ye Drama Dikhaye Ga Kya SeenParda Uthne Ki Muntazir Hai Nigah
Mumkin Hai Ke Tu Jis Ko Samajhta Hai BaharanAuron Ki Nighahonmein Woh Mousam Ho Khazan Ka
Teri Nigah Mein Hai Maujazat Ki DunyaMerinigah Mein Hai Hadsaat Ki Dunya
Ajab Nahin Ke Badal De Isse Nigah TeriBula Rahi Hai Tujhe Mumkinat Ki Dunya
Tera Nigah Mein Sabit Nahin Khuda Ka WujoodMeri Nigah Mein Sabit Nahin Wujood Tera
Khirad Ne Keh Bhi Diya ‘La Ilaha’ To Kya HasilDil-o-Nigah Musalman Nahin To Kuch Bhi Nahin
Anasir Iss Ke Hain Rooh-Ul-Quds Ka Zauq-e-JamalAjam Ka Husn-e-Tabiat, Arab Ka Souz-e-Darun!
Kuch Aur Cheez Hai Shaid Teri MusalmaniTeri Nigah Mein Hai Aik, Faqr-o-Ruhbani