Issi Se Puch Ke Paish-e-Nigah Hai Jo KuchJahan Hai Ya Ke Faqt Rang-o-Boo Ki Tughyani
Jahan Mein Banda-e-Hur Ke Mashidaat Hain KyaTeri Nigah Ghulamana Ho To Kya Kahiye
Shaheen Ki Ada Hoti Hai Bulbul Mein NamoodarKis Darja Badal Jate Hain Murghan-e-Sahar Khaiz!
Iss Dour Mein Aqwam Ki Souhbat Bhi Huwi AamPoshida Nigahon Se Rahi Wahdat-e-Adam
Buland Tar Nahin Angraiz Ki Nigahon MeinQabool-e-Deen-e-Mesihi Se Barhaman Ka Maqam
Nigah Mout Pe Rakhta Hai Mard-e-Danish-MandHayat Hai Shab-e-Tareek Mein Sharar Ki Namood
Hayat-o-Mout Nahin Iltafat Ke LaeekFaqt Khudi Hai Khudi Ki Nigah Ka Masood
Nazar Ate Nahin Be-Parda Haqaeq Un KoAnkh Jin Ki Huwi Mehkoomi-o-Taqleed Se Kaur
Wohi Nigah Ke Na-Khoob-o-Khoob Se MehramWohi Hai Dil Ke Hilal-o-Haraam Se Aagah
Faiz-e-Fitrat Ne Tujhe Didah-e-Shaheen BakhshaJis Mein Rakh Di Hai Ghulami Ne Nigah-e-Khaffash
Madrase Ne Teri Ankhon Se Chupaya Jin KoKhalwat-e-Koh-o-Byaban Mein Woh Asrar Hain Fash
Hareef-e-Nukta-e-Touheed Ho Saka Na HakeemNigah Chahiye Asrar-e-‘ LA ILAHA ’ Ke Liye
Mile Ga Manzil-e-Maqsood Ka Ussi Ko SuraghAndheri Shab Mein Hai Cheete Ki Ankh Jis Ka Charagh
Khali Un Se Huwa DabistanThi Jis Ki Nigah Taziyana