Roshan Uss Se Khird Ki AnkhainBe-Surma-e-Bu Ali-o-Razi
Meri Nigah Kamal-e-Hunar Ko Kya DekheKe Haq Se Ye Haram-e-Maghrabi Hai Begana
Nigah Ho To Bahaye Nazara Kuch Bhi NahinKe Bechti Nahin Fitrat Jamal-o-Zaibai
Kuch Aur Hi Nazar Ata Hai Karobar-e-JahanNigah-e-Shauq Agar Ho Shareek-e-Beenai
Issi Nigah Se Mehkoom Qoum Ke FarzandHuwe Jahan Mein Sazawar-e-Kaar Farmayi
Issi Nigah Mein Hai Qahiri-o-JabariIssi Nigah Mein Hai Dilbari-o-Raanai
Issi Nigah Se Har Zarre Ko, Junoon MeraSikha Raha Hai Reh-o-Rasm-e-Dasht-e-Pemai
Nigah-e-Shauq Mayassr Nahin Agar Tujh KoTera Wujood Hai Qalb-o-Nazar Ki Ruswai
Dil Kya Hai, Uss Ki Masti-o-Quwwat Kahan Se HaiKyun Iss Ki Nigah Ulati Hai Takht-e-Ke
Kya Baat Hai Ke Sahib-e-Dil Ki Nigah MeinJachti Nahin Hai Saltanat Rome-o-Sham-o-Re
Tera Niaz Nahin Ashnaye Naaz Ab TakKe Hai Qayam Se Khali Teri Namaz Ab Tak
Na Ho Jalal To Husn-o-Jamal Be-TaseerNira Nafs Hai Agar Naghma Ho Na Atishnaak
Agar Nawa Mein Hai Poshida Mout Ka PeghamHaraam Meri Nigahon Mein Naye-o-Chang-o-Rubab!