Mouj-e-Dood-e-Aah Se Aaeena Hai Roshan MeraGunj-e-Aab Award Se Maamoor Hai Daman Mera
Hairati Hun Mein Teri Tasveer Ke Ijaz KaRukh Badal Dala Hai Jis Ne Waqt Ki Parwaz Ka
Fazaye Ishq Par Tehreer Ki Uss Ne Nawa AesiMuyassar Jis Se Hain Ankhon Ko Ab Tak Ashak-e-Unabi
Ashakara Uss Ne Kiya Jo Zindagi Ka Raaz ThaHind Ko Lekin Khayali Falsafe Par Naaz Tha
Aatish-e-Namrood Hai Ab Tak Jahan Mein Shaola RaizHo Gya Ankhon Se Pinhan Kyun Tera Souz-e-Kuhan
Lekin Nigah-e-Nukta Been Dekhe Zuboon Bakhti Meri“Raftam Ke Khar Az Paksham, Mehmil Nihan Shad Az Nazar
“Haman Behtar Ke Laila Dar Bayan Jalwa Gar BashadNadarad Tangnaye Sheher Taab-e-Husn Sehrai”
Ye Zauq-o-Shauq Dekh Kar Purnam Huwi Woh AnkhJis Ki Nigah Thi Safat-e-Taegh-e-Benayam
Iss Mein Dekh, Muzmir Hai Kamal-e-Zindagi TeraJo Tujh Ko Zeenat-e-Daman Koi Aaeena Ru Kar Le
Shafaq-e-Subah Ko Darya Ka Kharaam AaeenaNaghma-e-Shaam Ko Khamoshi-e-Shaam Aaeena
Barg-e-Gul Aaeena Ariz-e-Ziabaye BaharShahid-e-Mai Ke Liye Hujla-e-Jaam Aaeena
Husn Aaeena-e-Haq Aur Dil Aaeena-e-HusnDil-e-Insan Ko Tera Husn-e-Kalaam Aaeena
Chashm-e-Alam Se To Hasti Rahi Mastoor TeriAur Alam Ko Teri Ankh Ne Uryan Dekha