'asad' zindāni-e-tāsīr-e-ulfat-hā-e-ḳhūbāñ huuñḳham-e-dast-e-navāzish ho gayā hai tauq gardan meñ
Gah Bahila Mee Burad, Gah Bazor Mee KusahIshq Ki Ibtada Ajab, Ishq Ki Intaha Ajab
apne jī meñ zarā to kar insāfkab se nā-mehrbān hai pyāre
vo tap-e-ishq-e-tamannā hai ki phir sūrat-e-sham.asho.ala tā-nabz-e-jigar resha-davānī māñge
Ghawwas-e-Mohabbat Ka Allah Nigheban HoHar Qatra-e-Darya Mein Darya Ki Hai Gehrayi
sabr TuuTe hue diloñ kā na letū yūñhī dhaan paan hai pyāre
mirā dil māñgte haiñ āriyat ahl-e-havas shāyadye jaanā chāhte haiñ aaj dāvat meñ samundar kī
Woh Sufi K Tha Khidmat-E-Haq Mein MardMohabbat Mein Yakta, Hamiyyat Mein Fard
ham se jo ho sakā so kar guzreab tirā imtihān hai pyāre
ishq par zor nahīñ hai ye vo ātish 'ġhālib'ki lagā.e na lage aur bujhā.e na bane
Bujhi Ishq Ki Aag, Andhair HaiMusalman Nahin, Raakh Ka Dhair Hai
mujh meñ tujh meñ to koī farq nahīñishq kyuuñ darmiyān hai pyāre
phir hue haiñ gavāh-e-ishq talabashk-bārī kā hukm-jārī hai
Muhe Ishq Ke Par Laga Kar UraMeri Khaak Jugnu Bana Kar Ura
kyā kahe hāl-e-dil ġharīb 'jigar'TuuTī phūTī zabān hai pyāre
e'tibār-e-ishq kī ḳhāna-ḳharābī dekhnāġhair ne kī aah lekin vo ḳhafā mujh par huā
Nalinda Tere Uood Ka Har Taar Azal SeTu Jinse-e-Mohabbat Ka Khireedar Azal Se
sabhī andāz-e-husn pyāre haiñham magar sādgī ke maare haiñ