Woh Nishan-e-Sajda Jo Roshan Tha Koukab Ki TarahHo Gyi Hai Uss Se Ab Na-Ashna Teri Jabeen
Parwane Ko Charagh Hai, Bulbul Ko Phool BasSiddique Ke Liye Hai Khuda Ka Rusool (S.A.W.) Bas
Khak-e-Marqad Par Teri Le Kar Ye Faryad Aun GaAb Duaye Neem Shab Mein Kis Ko Main Yaad Aun Ga!
Zauq-e-Hazir Hai Tou Phir Lazim Hai Iman-e-Khalil (A.S.)Warna Khakstar Hai Teri Zindagi Ka Pairhan
Pure Kare Khuda’ay Muhammad (S.A.W.) Teri MuradKitna Buland Teri Mohabbat Ka Hai Maqam!
Hum Par Karam Kiya Hai Khuda’ay Ghayoor NePuray Huwe Jo Wade Kiye The Huzoor (S.A.W.) Ne
Akhtar-e-Shaam Ki Ati Hai Falak Se AwazSajda Karti Hai Sahar Jis Ko, Woh Hai Aaj Ki Raat
Na Sataiza-Gah-e-Jahan Nayi Na Hareef-e-Panja Faggan NayeWohi Fitrat-e-Asadullahi, Wohi Marhabi, Wohi Aantari
Bandagi Mein Ghat Ke Reh Jati Hai Ek Jooay Kam AabAur Azadi Mein Beher-E-Bekaran Hai Zindagi
Sar Shak-E-Chashm-E-Muslim Mein Hai Neesan Ka Asar PaidaKhalil-Allah (A.S.) Ke Darya Mein Hon Ge Phir Guhar Paida
Khuda’ay Lam Yazil Ka Dast-E-Qudrat Tu, Zuban Tu HaiYaqeen Paida Kar Ae Ghafil Ke Maghloob-E-Guman Tu Hai
Makan Fani, Makeen Ani, Azal, Tera, Abad TeraKhuda Ka Akhiri Pegham Hai Tu, Javidan Tu Hai
Na Kaheen Jahan Mein Aman Mili, Jo Aman Mili To Kahan MiliMere Jurm-e-Khana Kharab Ko Tere Ufuw-e-Banda Nawaz Mein
Na Khuda Raha Na Sanam Rahe, Na Raqeeb-e-Dair-o-Haram RaheNa Rahi Kahin Asadullah, Na Kahin Abu Lahbi Rahi
Ye ‘Lasan Al Asr’ Ka Pegham Hai“Inna Wadallahi Haqqun Yaad Rakh"
Woh Sehar Jis Se Larazta Hai Shabistan-e-WujoodHoti Hai Banda-e-Momin Ki Azan Se Paida
Khudi Ka Sirr-e-Nihan La Ilaha IllallahKhudi Hai Taeg, Fasan La Ilaha Illallah
Ye Dour Apne Baraheem Ki Talash Mein HaiSanam Kudah Hai Jahan, La Ilaha Illallah
Kiya Hai Tu Ne Mataa-e-Ghuroor Ka SodaFaraib Sood-o-Zayan, La Ilaha Illallah
Ye Maal-o-Doulat-e-Dunya, Ye Rishta-o-PewandButan-e-Weham-o-Guman, La Ilaha Illallah