Khird Huwi Hai Zaman-o-Makan Ki ZunnariNa Hai Zaman Na Makan, La Ilaha Illallah
Ye Naghma Fasl-e-Gul-o-Lala Ka Nahin PabandBahar Ho Ke Khazan, La Ilaha Illallah
Agarche But Hain Jamat Ki Astinon MeinMujhe Hai Hukm-e-Azan, La Ilaha Illallah
‘Tan Ba Taqdeer’ Hai Aaj Un Ke Amal Ka AndazThi Nihan Jin Ke Iradon Mein Khuda Ki Taqdeer
Sabab Kuch Aur Hai, Tu Jis Ko Khud Samajhta HaiZawal Banda-e-Momin Ka Be-Zarri Se Nahi
Band-e-Takhmeen-o-Zan! Kirm-e-Kitabi Na BanIshq Sarapa Huzoor, Ilm Sarapa Hijab!
Main Band-e-Nadan Hun, Magar Shukar Hai TeraRakhta Hun Nihan Khana-e-Lahoot Se Pewand
Ajab Nahin Ke Khuda Tak Teri Rasayi HoTeri Nigah Se Hai Poshida Adami Ka Maqam
Main Ne Ae Meer-e-Sipah! Teri Sipah Dekhi Hai‘QUL HU WALLAH’ Ki Shamsheer Se Khali Hain Nayam
Woh Ilm Apne Boton Ka Hai Aap IbraheemKya Ha Jis Ko Khuda Ne Dil-o-Nazar Ka Nadeem
Hai Fikr Mujhe Misra-e-Sani Ki ZiadaAllah Kare Tujh Ko Atta Faqr Ki Talwar
Lekin Janab-e-Sheikh Ko Maloom Kya Nahin?Masjid Mein Ab Ye Waaz Hai Besood-o-Be-Asar
Tera Nigah Mein Sabit Nahin Khuda Ka WujoodMeri Nigah Mein Sabit Nahin Wujood Tera
Wahdat Ki Hifazat Nahin Be-Quwwat-e-BazooAati Nahin Kuch Kaam Yahan Aqal-e-Khudadad
Ae Mard-e-Khuda! Yujh Ko Woh Quwwat Nahin HasilJa Baith Kisi Ghaar Mein Allah Ko Kar Yaad
Ye Aik Sajda Jise Tu Garan Samajhta HaiHazar Sajde Se Deta Hai Admi Ko Nijat!
Har Khaki-o-Noori Pe Hukoomat Hai Khird KiBahir Nahin Kuch Aqal-e-Khudadad Ki Zad Se
Ae Khuda-e-Kun Fakan! Mujh Ko Na Tha Adam Se BayrAah, Woh-e-Nazdeek-o-Door-o-Dair-o-Zood
Jurrat Ho Namoo Ki Tu Faza Tang Nahin HaiAe Mard-e-Khuda, Mulk-e-Khuda Tang Nahin Hai!
Jahan Mein Banda-e-Hur Ke Mashidaat Hain KyaTeri Nigah Ghulamana Ho To Kya Kahiye