Uss Mard-e-Khud Aagah-o-Khuda-Mast Ki SohabatDeti Hai Gadaon Ko Shikoh-e-Jam-o-Pervaiz
Mehkoom Ke Ilhaam Se Allah BachayeGharat Gar-e-Aqwam Hai Woh Soorat-e-Changaiz
Nazar Allah Pe Rakhta Hai Musalman-e-GhayoorMout Kya Shay Hai,Faqt Alam-e-Maani Ka Safar
Aah, Ae Mard-e-Musakman Tujhe Kya Yaad NahinHarf-e- ‘La Tad-Au Maa Allahi Ilahan Aakhar’
Tilism-e-Bood-o-Aadam , Jis Ka Naam Hai AdamKhuda Ka Raaz Hai, Qadir Nahin Hai Jis Pe Sukhan
Har Lehza Hai Momin Ki Nayi Shan, Nayi AanGuftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan!
Hai Kis Ki Ye Juraat Ke Musalman Ko TokeHurriyat-e-Afkar Ki Naimat Hai Khudadad
Jahan Agarcha Digargoon Hai, Qum Bi-IzinillahWohi Zameen, Wohi Gadroon Hai, Qum Bi-Izinillah
Kiya Nawaye ‘Anal-Haq’ Ko Aatisheen Jis NeTeri Ragon Mein Wohi Khoon Hai, Qum Bi-Izinillah
Ghameen Na Ho Ke Paraganda Hai Shaur TeraFarangiyon Ka Ye Afsoon Hai, Qum Bi-Izinillah
Moujon Ki Tapish Kya Hai, Faqt Zauq-e-Talab HaiPinhan Jo Sadaf Mein Hai, Woh Doulat Hai Khudadad
Uss Mard-e-Khuda Se Koi Nisbat Nahin Tujh KoTu Banda-e-Afaq Hai, Woh Sahib-e-Afaq
Mehkoom Ko Peeron Ki Karamat Ka SodaHai Banda-e-Azad Khud Ek Zinda Karamat
Khuda Tujhe Kisi Toofan Se Ashna Kar DeKe Tere Behar Ki Moujon Mein Iztarab Nahin
Mayassar Ati Hai Fursat Faqt Ghulamon KoNahin Hai Banda-e-Hur Ke Liye Jahan Mein Faragh
Darbar-e-Shehenshi Se KhaushtarMardan-e-Khuda Ka Astana
Allah Ki Dayn Hai, Jis DeMiras Nahin Buland Nami
Na-Paid Banda-e-Amal MastBaqi Hai Faqt Nafas Darazi
Uss Faqr Se Admi Mein PaidaAllah Ki Shan-e-Be-Niazi
Bohat Rang Badle, Sipihr-e-Bareen NeKhudaya Ye Dunya Jahan Thi, Wahin Hai