Zameer-e-Banda-e-Khaki Se Hai Namood Un KiBuland Tar Hai Sitaron Se Un Ka Kashana
Khudi Ki Mout Se Mashriq Ki Sarzameenon MeinHuwa Na Koi Khudai Ka Raazdan Paida
Ishq Ab Pairwi-e-Aqal-e-Khudadad KareAabru Koocha-e-Janana Mein Na Barbad Kare
Jabeen-e-Banda-e-Haq Mein Numood Hai Jis KiUssi Jalal Se Labraiz Hai Zameer-e-Wujood
Khuda Kare Ke Usse Ittefaq Ho Mujh SeFaqeeh-e-Shehr Ke Hai Mehram-e-Hadees-o-Kitab
Uss Ki Nafrat Bhi Umeeq, Uss Ki Muhabbat Bhi UmeeqQeher Bhi Uss Ka Hai Allah Ke Bandon Pe Shafeeq
Har Chand Ke Aeejad-e-Maani Hai KhudadKoshish Se Kahan Mard-e-Hunarmand Hai Azad !
Choro Yourap Ke Liye Raqs-e-Badan Ke Kham-o-PaichRooh Ke Raqs Mein Hai Zarb-e-Kaleem-Ul-Lahi !
Quran Mein Ho Ghota-Zan Ae Mard-e-MusalmanAllah Kare Tujh Ko Atta Jiddat-e-Kirdar
Maqsad Hai In Allah Ke Bandon Ka Magar AikHar Aik Hai Go Sharah-e-Maani Mein Yagana
Jo Baat Haq Ho, Woh Mujh Se Chupi Nahin RehtiKhuda Ne Mujh Ko Diya Hai Dil-e-Khabeer-o-Baseer
Taqeer To Mubaram Nazar Ati Hai Wa LekinPeeran-e-Kaleesa Ki Dua Ye Hai Ke Tal Jaye
Ho Agar Quwwat-e-Firon Ki Darparda MureedQoum Ke Haq Mein Hai Lanat Woh Kaleem-Ullahi !
Kaha Mujahid-e-Turki Ne Mujh Se Baad-e-NamazTaweel Sajda Hain Kyun Iss Qadar Tumhare Imam
Taweel Sajda Agar Hain To Kya Ta’ajjub HaiWaraye Sajda Ghareebon Ko Aur Kya Hai Kaam
Woh Sajda Jis Mein Hai Millat Ki Zindagi Ka Payam!—God teach His ministers in India
Baaz Na Ho Ga Kabhi Banda-e-Kubak-o-HamamHifz-e-Badan Ke Liye Rooh Ko Kar Doon Halaak!
Teri Dua Se Qaza To Badal Nahin SaktiMagar Hai Iss Se Ye Mumkin Ke Tu Badal Jaye
Teri Dua Hai Ke Ho Teri Arzoo PuriMeri Dua Hai Teri Arzoo Badal Jaye!
Teri Be-Ilmi Ne Rakh Li Be-Ilmon Ki LaajAlim Fazil Baich Rahe Hain Apna Deen Imaan
Khuda Ne Iss Ko Diya Hai Shikoh-e-SultaniKe Iss Ke Faqr Mein Hai Haidari-o-Karrari
Ae Sheikh, Ameeron Ko Masjid Se Nikalwa DeHai Un Ki Namazon Se Mehraab Tursh Aabru
Qoumon Ke Liye Mout Hai Markaz Se JuddaiHo Sahib-e-Markaz To Khudi Kya Hai, Khudai!
Iss Dour Mein Bhi Mard-e-Khuda Ko Hai MayyasarJo Maujaza Parbat Ko Bana Sakta Hai Rai
Fitrat Ke Maqasid Ki Karta Hai NigehbaniYa Banda-e-Sehrai Ya Mard-e-Kuhistani