jis pe terī nazar nahīñ hotīus kī jānib ḳhudā nahīñ hotā
yuuñ to haiñ saare butāñ ġhārat-gar-e-īmān-o-dīñek vo kāfir sanam nām-e-ḳhudā kyā chiiz hai
phir jo dekhā to kuchh na thā yā rabkaun pūchhe ki kyā kiyā tū ne
kyā kahnā tirī duā kā zāhidgardūñ kā sutūn ho ga.ī hai
kunj-e-uzlat meñ misāl-e-āsiyā huuñ gosha-gīrrizq pahuñchātā hai ghar baiThe ḳhudā mere liye
'valī' hargiz apas ke dil kuuñ siine meñ na rakh ġham-gīñki bar lāvegā matlab kuuñ ḳhudā āhista āhista
matā-e-dīn-o-dānish luT ga.ī allāh-vāloñ kīye kis kāfir-adā kā ġhamza-e-ḳhūñ-rez hai saaqī
shor-e-timsāl hai kis rashk-e-chaman kā yā rabaa.ina baiza-e-bulbul nazar aatā hai mujhe
ab to jaate haiñ but-kade se 'mīr'phir mileñge agar ḳhudā laayā
ab vo ye kah rahe haiñ mirī maan jā.iyeallāh terī shaan ke qurbān jā.iye
maulvī sāhib na chhoḌeñge ḳhudā go baḳhsh degher hī leñge police vaale sazā ho yā na ho
bharī bahār meñ tārāji-e-chaman mat pūchhḳhudā kare na phir āñkhoñ se vo samāñ guzre
yahī tañg haal jo sab kā hai ye karishma qudrat-e-rab kā haijo bahār thī so ḳhizāñ huī jo ḳhizāñ thī ab vo bahār hai
dekhte haiñ ki pahuñchtī hai vahāñ kaun sī raahka.aba o dair se kuchh ham ko sarokār nahīñ
banda huuñ tirā zabān-e-shīrīñduniyā mamnūn ho ga.ī hai
koī aniis koī āshnā nahīñ rakhtekisī kī aas baġhair az ḳhudā nahīñ rakhte
aaj terī bhavāñ ne masjid meñhosh khoyā hai har namāzī kā
ye bandagī ḳhudā.ī vo bandagī gadā.īyā banda-e-ḳhudā ban yā banda-e-zamāna
īmāñ mujhe roke hai jo khīñche hai mujhe kufrka.aba mire pīchhe hai kalīsā mire aage
faqīrāna aa.e sadā kar chaleki myaañ ḳhush raho ham duā kar chale
kyā bad-gumāniyāñ haiñ unheñ mujh ko hukm haighar meñ ḳhudā ke bhī to na mehmān jā.iye
shaitān kī na maan jo rāhat-nasīb hoallāh ko pukār musībat agar paḌe
allāh agar taufīq na de insān ke bas kā kaam nahīñfaizān-e-mohabbat aam sahī irfān-e-mohabbat aam nahīñ
kyā hai ġham 'zafar' tujhe hashr kā jo ḳhudā ne chāhā to barmalāhameñ hai vasīla rasūl kā vo hamārā hāmī-e-kār hai
tum ne 'hālī' khol kar nāhaq zabāñkar liyā saarī ḳhudā.ī se bigāḌ
fāsla aisā nahīñ kuchh arsh kī zanjīr sekyā kahūñ baḌhtā nahīñ dast-e-duā achchhī tarah
vo log kaun se haiñ ai ḳhudā-e-kaun-o-makāñsuḳhan se kaan ko jo āshnā nahīñ rakhte
murīd-e-sāda to ro ro ke ho gayā taa.ibḳhudā kare ki mile shaiḳh ko bhī ye taufīq
na hashr-o-nashr kā qaa.el na kesh o millat kāḳhudā ke vāste aise kī phir qasam kyā hai
jabīñ sajda karte hī karte ga.īhaq-e-bandagī ham adā kar chale