ḳhudā kare na phañse dām-e-ishq meñ koīuThā.ī hai jo musībat kisī ko kyā ma.alūm
dil mirā jis se bahaltā koī aisā na milābut ke bande mile allāh kā bandā na milā
jalva-e-zāt ai ma.āz-allāhtāb-e-ā.īna-e-sifāt ga.ī
ham dekhte haiñ tum meñ ḳhudā jaane buto kyāis bhed ko allāh kī qasam kah nahīñ sakte
yā rab is iḳhtilāt kā anjām ho ba-ḳhairthā us ko ham se rabt magar is qadar kahāñ
ai ḳhizr pai-e-ḳhajista bahr-e-ḳhudā karam karbhaTke hue musāfir manzil ko DhūñDte haiñ
lahad meñ aa.eñ nakīrain aa.eñ bismillāhhar ik savāl kā ham bhī javāb samjhe haiñ
ai musalmāñ apne dil se pūchh mullā se na pūchhho gayā allāh ke bandoñ se kyuuñ ḳhālī haram
bazm-e-shāhanshāh meñ ash.ār kā daftar khulārakhiyo yā rab ye dar-e-ganjīna-e-gauhar khulā
parastish kī yaañ tak ki ai but tujhenazar meñ sabhoñ kī ḳhudā kar chale
in hasīnoñ kā laḌakpan hī rahe yā allāhhosh aatā hai to aatā hai satānā dil kā
vaah kyā raah dikhā.ī hai hameñ murshid nekar diyā kaabe ko gum aur kalīsā na milā
be-fā.eda alam nahīñ be-kār ġham nahīñtaufīq de ḳhudā to ye nemat bhī kam nahīñ
allāh re tirā ro.ab ki ahvāl-e-dil apnāde dete haiñ ham kar ke raqam kah nahīñ sakte
hotī nahīñ qubūl duā tark-e-ishq kīdil chāhtā na ho to zabāñ meñ asar kahāñ
mujh ko hairat hai shab-e-aish kī kotāhī paryā ḳhudā aa.e the kyā shām-o-sahar donoñ saath
tamām ḳhalq hai ḳhvāhān-e-ābrū ai rabchhupā mujhe sadaf-e-qabr meñ guhar kī tarah
daarā o sikandar se vo mard-e-faqīr aulāho jis kī faqīrī meñ bū-e-asadul-lāhaī
allāh re terī tundi-e-ḳhū jis ke biim seajzā-e-nāla dil meñ mire rizq-e-ham hue
yārab kase hai naaqa har ġhuncha is chaman kārāh-e-vafā ko ham to masdūd jānte haiñ
de ḳhudā aur jagah siina o pahlū ke sivāki bure vaqt meñ ho jaa.e Thikānā dil kā
yā rab mujhe mahfūz rakh us but ke sitam semaiñ us kī ināyat kā talabgār nahīñ huuñ
yā rab hujūm-e-dard ko de aur vus.ateñdāman to kyā abhī mirī āñkheñ bhī nam nahīñ
havā meñ phirte ho kyā hirs aur havā ke liyeġhurūr chhoḌ do ai ġhāfilo ḳhudā ke liye
sirr-e-bātin ko faash kar yā rabahl-e-zāhir bahut satāne lage
kyuuñ rahe merī duā minnat-kash-e-bāl-e-malaknāla-e-mastāna mere āsmāñ-paimā haiñ aap
ā.īn-e-javāñ-mardāñ haq-goī o be-bākīallāh ke sheroñ ko aatī nahīñ rūbāhī
mire dil meñ hai 'ġhālib' shauq-e-vasl o shikva-e-hijrāñḳhudā vo din kare jo us se maiñ ye bhī kahūñ vo bhī
ḳharāb rahte the masjid ke aage mai-ḳhānenigāh-e-mast ne saaqī kī intiqām liyā