mujhe mānte sab aisā ki adū bhī sajde kartedar-e-yār ka.aba bantā jo mirā mazār hotā
go dāva-e-taqvā nahīñ dargāh-e-ḳhudā meñbut jis se hoñ ḳhush aisā gunahgār nahīñ huuñ
ḳhuddārī-o-mahrūmī mahrūmī-o-ḳhuddārīab dil ko ḳhudā rakkhe ab dil kā zamānā hai
le gayā dil kā jo ārām hamāre yā rabus dil-ārām ko mutlaq kabhī ārām na ho
vaa.iz ik aib se tū paak hai yā zāt-e-ḳhudāvarna be-aib zamāne meñ chalan kis kā hai
hukm-e-qazā ho jaisā sarzad ho fe.al vaisābanda kā daḳhl bhī hai phir is kahī badī meñ
na kahīñ jahāñ meñ amaañ milī jo amaañ milī to kahāñ milīmire jurm-e-ḳhāna-ḳharāb ko tire afv-e-banda-navāz meñ
hai shikastan se bhī dil naumīd yā rab kab talakābgīna koh par arz-e-girāñ-jānī kare
ishq kiyā so diin gayā īmān gayā islām gayādil ne aisā kaam kiyā kuchh jis se maiñ nākām gayā
chashm-e-sanam ne yuuñ to bigāḌe hazār gharik ka.aba chand roz ko ābād rah gayā
falsafī ko bahs ke andar ḳhudā miltā nahīñDor ko suljhā rahā hai aur sirā miltā nahīñ
charāġh-e-dair-o-kāba allāh allāhhavā kī zid pe jalte jā rahe haiñ
kāfir tujhe allāh ne sūrat to parī dīpar haif tire dil meñ mohabbat na zarī dī
dar guzre davā se to bharose pe duā kedar guzreñ duā se bhī duā hai ye ḳhudā se
sajda kā hukm mujh ko tū ne to ab diyā haipahle hī likh chukā huuñ maiñ ḳhatt-e-bandgī meñ
maiñ jo sar-ba-sajdā huā kabhī to zamīñ se aane lagī sadātirā dil to hai sanam-āshnā tujhe kyā milegā namāz meñ
'ġhālib' vazīfa-ḳhvār ho do shaah ko duāvo din ga.e ki kahte the naukar nahīñ huuñ maiñ
yuuñ to ham ājiz-tarīn-e-ḳhalq-e-ālam haiñ valedekhiyo qudrat ḳhudā kī gar hameñ qudrat huī
pur-nūr ho rahegā ye zulmat-kada agardil meñ butoñ kā shauq-e-ḳhudā-dād rah gayā
kashti-e-dil kī ilāhī bahr-e-hastī meñ ho ḳhairnāḳhudā milte haiñ lekin bā-ḳhudā miltā nahīñ
jab nigāheñ uTh ga.iiñ allāh-rī merāj-shauqdekhtā kyā huuñ vo jān-e-intizār aa hī gayā
jin ko mehrāb-e-ibādat ho ḳham-e-abrū-e-yārun kā kaabe meñ kaho sajda adā kyūñkar huā
ik dard ho bas aaTh pahar dil meñ ki jis kotaḳhfīf davā se ho na taskīn duā se
chaltā thā jab ghuTniyoñ apne yahāñ tifl-e-razī.asajda karte the use gardan-kushān-e-lucknow
ḳhudī ko kar buland itnā ki har taqdīr se pahleḳhudā bande se ḳhud pūchhe batā terī razā kyā hai
bandagī meñ bhī vo āzāda o ḳhud-bīñ haiñ ki hamulTe phir aa.e dar-e-ka.aba agar vā na huā
talvār kā bhī maarā ḳhudā rakkhe hai zālimye to ho koī gor-e-ġharībāñ meñ dar aave