fusūñ hai yā duā hai yā muamma khul nahīñ saktāvo kuchh paḌhte hue aage mire madfan ke baiThe haiñ
ahl-e-zāhir jis qadar chāheñ kareñ bahs-o-jidālmaiñ ye samjhā huuñ ḳhudī meñ to ḳhudā miltā nahīñ
jab us ruḳh-e-pur-nūr kā jalva nazar aayāka.aba nazar aayā na kalīsā nazar aayā
vo to hai nā-āshnā mash.hūr aalam meñ 'zafar'par ḳhudā jaane vo tujh se āshnā kyūñkar huā
shaiḳh jab dil hī dair meñ na lagāaa ke masjid se kyā liyā tū ne
ḳhabar dī uTh ke qayāmat ne us ke aane kīḳhudā hī ḳhair kare ruḳh hai anjuman kī taraf
navā-e-sub.h-gāhī ne jigar ḳhuuñ kar diyā merāḳhudāyā jis ḳhatā kī ye sazā hai vo ḳhatā kyā hai
kyā vo namrūd kī ḳhudā.ī thībandagī meñ mirā bhalā na huā
kyā haqīqat kahūñ ki kyā hai ishqhaq-shanāsoñ ke haañ ḳhudā hai ishq
parde parde meñ mohabbat dushman-e-jānī huīye ḳhudā kī maar kyā ai shauq-e-pinhānī huī
allāh bachā.e maraz-e-ishq se dil kosunte haiñ ki ye āriza achchhā nahīñ hotā
ik sarḳhushi-e-ishq hai ik be-ḳhudī-e-shauqāñkhoñ ko ḳhudā jaane mirī kyā nazar aayā
duniyā-e-dūñ kī de na mohabbat ḳhudā 'zafar'insāñ ko pheñk de hai ye īmān o diiñ se duur
dil o diiñ kho ke aa.e the sū-e-dairyaañ bhī sab kuchh diyā ḳhudā tū ne
yāqūb qat.a kar deñ ummīd-e-vasl dil seyūsuf sā banda koī āzād kyā karegā
sikhlā.ī farishtoñ ko aadam kī taḌap us neaadam ko sikhātā hai ādāb-e-ḳhudāvandī
ġhair ko yā rab vo kyūñkar mana-e-gustāḳhī karegar hayā bhī us ko aatī hai to sharmā jaa.e hai
ishq hai tarz o taur ishq ke ta.iiñkahīñ banda kahīñ ḳhudā hai ishq
ai asar kar na intizār-e-duāmāñgnā saḳht be-hayā.ī hai
har zarra chamaktā hai anvār-e-ilāhī sehar saañs ye kahtī hai ham haiñ to ḳhudā bhī hai
jab har ik shorish-e-ġham zabt-e-fuġhāñ tak pahuñchephir ḳhudā jaane ye hañgāma kahāñ tak pahuñche
maiñ huuñ aasī ki pur-ḳhatā kuchh huuñterā banda huuñ ai ḳhudā kuchh huuñ
ḳhauf kā koī nishāñ zāhir nahīñ afa.āl meñgo ki dil meñ muttasil ḳhauf-e-ḳhudā paate haiñ ham
ye āh-e-be-asar kyā ho ye naḳhl-e-be-samar kyā hona ho jab dard hī yārab to dil kyā ho jigar kyā ho
biThā ke arsh pe rakkhā hai tū ne ai vaa.izḳhudā vo kyā hai jo bandoñ se ehtirāz kare
allāh-re zauq-e-dasht-navardī ki ba.ad-e-marghilte haiñ ḳhud-ba-ḳhud mire andar kafan ke paañv
gar parastish ḳhudā kī sābit kīkisū sūrat meñ ho bhalā hai ishq