maano kahā jafā na karo tum vafā ke ba.adaisā na ho ki pher leñ ulTī duā.eñ ham
vahī hai fazl-e-ḳhudā se ab tak taraqqi-e-kār-e-husn o ulfatna vo haiñ mashq-e-sitam meñ qāsir na ḳhūn-e-dil kī yahāñ kamī hai
pahle kahāñ ye naaz the ye ishva o adādil ko duā.eñ do tumheñ qātil banā diyā
diiñ kyā hai balki dījiye īmān bhī unheñzāhid ye but ḳhudā kī qasam aise shaḳhs haiñ
falak ne un ko atā kī hai ḳhvājgī ki jinheñḳhabar nahīñ ravish-e-banda-parvarī kyā hai
kis parde meñ hai ā.ina-pardāz ai ḳhudārahmat ki uzr-ḳhvāh-e-lab-e-be-savāl hai
shaiḳh jo hai masjid meñ nañgā raat ko thā mai-ḳhāne meñjubba ḳhirqa kurtā Topī mastī meñ in.aam kiyā
raqīb o sheva-e-ulfat ḳhudā kī qudrat haivo aur ishq bhalā tum ne e'tibār kiyā
ḳhudā alī-gaḌh ke madrase ko tamām amrāz se shifā debhare hue haiñ ra.īs-zāde amīr-zāde sharīf-zāde
vo az-ḳhud hī nādim hue jā rahe haiñḳhudā jaane kyā kyā ḳhayāl aa rahe haiñ
ḳhudā ke vāste zāhid uThā parda na kaabe kākahīñ aisā na ho yaañ bhī vahī kāfir-sanam nikle
pareshāñ ho ke merī ḳhaak āḳhir dil na ban jaa.ejo mushkil ab hai yā rab phir vahī mushkil na ban jaa.e
hai hai ḳhudā-na-ḳhvāsta vo aur dushmanīai shauq-e-munfa.il ye tujhe kyā ḳhayāl hai
zabān-e-ḳhār se niklī sadā-e-bismillāhjunūñ ko jab sar-e-shorīda par savār kiyā
nikalte haiñ kar ke ġhol-bandī ba-nām-e-tahzīb o dard-mandīye kah ke lete haiñ sab se chande hameñ jo tum do tumheñ ḳhudā de
duhā.ī hai mire allāh kī duhā.ī haikisī ne mujh se bhī mujh ko chhupā ke luuT liyā
ḳhudā ke vāste ai hamdamo na bolo tumpayām laayā hai kyā nāma-bar vahāñ se suno
ḳhudā ke paak bandoñ ko hukūmat meñ ġhulāmī meñzirah koī agar mahfūz rakhtī hai to istiġhnā
mushkīñ libās-e-kāba alī ke qadam se jaannāf-e-zamīn hai na ki nāf-e-ġhazāl hai
kisī ke ishq-e-nihāñ meñ ye bad-gumānī thīki Darte Darte ḳhudā par bhī āshkār kiyā
yahī bas 'akbar' kī iltijā hai janāb-e-bārī meñ ye duā haiulūm-o-hikmat kā dars un ko professor deñ samajh ḳhudā de
jab makān-o-lā-makāñ sab se guzar jaatā huuñ maiñallāh allāh tujh ko ḳhud apnī jagah paatā huuñ maiñ
huzūr-e-haq meñ isrāfīl ne merī shikāyat kīye banda vaqt se pahle qayāmat kar na de barpā