'zafar' aadmī us ko na jāniyegā vo ho kaisā hī sāhab-e-fahm-o-zakājise aish meñ yād-e-ḳhudā na rahī jise taish meñ ḳhauf-e-ḳhudā na rahā
quvvat-e-dast-e-ḳhudā.ī hai shakebā.ī meñvaqt jab aa ke paḌā hai yahī kaam aa.ī hai
garche hai merī justujū dair o haram kī naqsha-bandmerī fuġhāñ se rustaḳhez ka.aba o somnāt meñ
jab ki tujh bin nahīñ koī maujūdphir ye hañgāma ai ḳhudā kyā hai
aage us mutakabbir ke ham ḳhudā ḳhudā kiyā karte haiñkab maujūd ḳhudā ko vo maġhrūr-e-ḳhud-ārā jaane hai
nārāz ho ḳhudā to kareñ bandagī se ḳhushmāshūq ruuTh jaa.e to kyūñkar manā.eñ ham
ik bosa dījiye mirā īmān lījiyego but haiñ aap bahr-e-ḳhudā maan lījiye
zāt-o-sifāt-e-husn kā aalam nazar meñ haimahdūd-e-sajda kyā mirā zauq-e-jabīñ rahe
jis tarah se ki kaabe pe hai poshish-e-siyāhis tarah is sanam ke hai ruḳh par ġhilāf-e-zulf
shikāyat hai mujhe yā rab ḳhudāvañdān-e-maktab sesabaq shāhīñ bachchoñ ko de rahe haiñ ḳhāk-bāzī kā
jaan tum par nisār kartā huuñmaiñ nahīñ jāntā duā kyā hai
pahuñchā jo aap ko to maiñ pahuñchā ḳhudā ke ta.iiñmālūm ab huā ki bahut maiñ bhī duur thā
kitnā tirā mizāj ḳhushāmad-pasand haikab tak kareñ ḳhudā ke liye iltijā.eñ ham
allāh kī raah ab tak hai khulī āsār-o-nishāñ sab qaa.em haiñallāh ke bandoñ ne lekin us raah meñ chalnā chhoḌ diyā
sar-dādgān-e-ishq-o-mohabbat kī kyā kamīqātil kī teġh tez ḳhudā kī zamīñ rahe
shamshīr-e-barhana maañg ġhazab bāloñ kī mahak phir vaisī hījuuḌe kī guñdhāvaT qahr-e-ḳhudā bāloñ kī mahak phir vaisī hī
ḳhabar milī hai ḳhudāyān-e-bahr-o-bar se mujhefarañg rahguzar-e-sail-e-be-panāh meñ hai
haañ vo nahīñ ḳhudā-parast jaao vo bevafā sahījis ko ho diin o dil aziiz us kī galī meñ jaa.e kyuuñ
sarzad ham se be-adabī to vahshat meñ bhī kam hī huīkosoñ us kī or ga.e par sajda har har gaam kiyā
sauñpā tumheñ ḳhudā ko chale ham to nā-murādkuchh paḌh ke baḳhshnā jo kabhī yaad aa.eñ ham
aarzū hai mujhe ik shaḳhs se milne kī bahutnaam kyā luuñ koī allāh kā bandā hogā
ham ne kyā kuchh na kiyā dīda-e-dil kī ḳhātirlog kahte haiñ duāoñ meñ asar hotā hai
allāh allāh re un butoñ kā ġhurūrye ḳhudā.ī nahīñ to phir kyā hai
butoñ se tujh ko umīdeñ ḳhudā se naumīdīmujhe batā to sahī aur kāfirī kyā hai
be-niyāzī had se guzrī banda-parvar kab talakham kaheñge hāl-e-dil aur aap farmāveñge kyā
kis kā ka.aba kaisā qibla kaun haram hai kyā ehrāmkūche ke us ke bāshindoñ ne sab ko yahīñ se salām kiyā