Guman Abad-E-Hasti Mein Yaqeen Mard-E-Musalman KaByaban Ki Shab-E-Tareek Mein Qindeel-E-Rahbani
Sae-e-Peham Hai Tarazuye Kam-o-Kaif-e-HayatTeri Meezan Hai Shumar-e-Sehar-o-Shaam Abhi
Dam-e-Tof Karmak-e-Shama Ne Ye Kaha Ke Woh Asar-e-KuhanNa Teri Hikayat-e-Souz Mein, Na Meri Hadees-e-Gudaz Mein
Tera Jalwa Kuch Bhi Tasalli Dil-e-Na-Saboor Na Kar SakaWohi Garya-e-Sehri Raha, Wohi Aah-e-Neem Shabi Rahi
Ye Sehar Jo Kabhi Farda Hai Kabhi Hai AmrozNahin Maloom Ke Hoti Hai Kahan Se Paida
Woh Sehar Jis Se Larazta Hai Shabistan-e-WujoodHoti Hai Banda-e-Momin Ki Azan Se Paida
Tu Maanni-e-‘Wannajam’ Na Samajha To Ajab KyaHai Tera Mad-o-Jazar Abhi Chand Ka Mohtaaj
Taseer Hai Ye Mere Nafas Ki Ke Khazan MeinMurghan-e-Sehar Khawan Meri Sohbat Mein Hain Khoursand
Teri Namaz Mein Baqi Jalal Hai, Na JamalTeri Azan Mein Nahin Hai Meri Sehar Ka Payam
Ajab Nahin Ke Preshan Hai Guftugoo MeriFarogh-e-Subah Preshan Nahin To Kuch Bhi Nahin
Tu Zameer-e-Asman Se Abhi Ashna Nahin HaiNahin Be-Qarar Karta Tujhe Ghamzada-e-Sitara
Tere Neestan Mein Dala Mere Naghma-e-Sahar NeMeri Khak-e-Pay-Sipar Mein Jo Nihan Tha Ek Sharara
Mujh Ko Bhi Nazar Ati Hai Ye Bu-QalmooniWoh Chand, Ye Tara Hai, Woh Pathar, Ye Nageen Hai
Fikar Be-Noor Tera, Jazb-Eamal Be-BunyadSakht Mushkil Hai Ke Roshan Ho Shab-e-Tar-e-Hayat
Shaheen Ki Ada Hoti Hai Bulbul Mein NamoodarKis Darja Badal Jate Hain Murghan-e-Sahar Khaiz!